Roi Jab Ladli Muhammad Ki Kazmi Brothers Lyrics In Urdu 2021
Roi Jab Ladli Muhammad Ki Kazmi Brothers.
Roi Jab Ladli Muhammad Ki Sara Darbar Muskuraya Hai.
Haye Bad-e-Rasool Zahra Par Kaisa Ghurbat Ka Waqt Aaya Hai.
Jaisay Jaisay Batool Roti Thin Qehqahey Unn Ke Barhtey Jate They.
Sath Jin Ko Batool Layi Thin Ashk Dono Gawah Bahatay They.
Sab They Masroof Muskuraney Mein Na Kissi Ko Bhi Taras Aaya Hai.
Tere Mimber Pe Baithay Gasib Ko Teri Tehreer Bhi Dikhai Hai.
Kar Ke Tukray Laeen Ne Baba Bharay Darbar Mein Aurai Hai.
Pak Tehreer Ko Hai Tukron Mein Main Ne Darbar Se Utha Hai.
Main Tu Woh Hoon Ke Ya Rasool ALLAH Jis Ki Tazeem Aap Kartay They.
Naam Lena Ho Jab Mera Baba Aap Pehle Darood Parhtay They.
Kya Bataon Keh Mujh Pe Kya Guzri Oss Ne Tu Keh Ke Jab Bulaya Hai.
Yeh Woh Bibi Hai Keh Muhammad Bhi Jis Ko Umm-e-Abeeha Kehte They.
Woh Sawali Bani Khari Thi Magar Samne Kursiyon Pe Baithay They.
Oss Ko Muslim Kahon Bhala Kyun Kar Jis Ne Bibi Ka Dil Dukhaya Hai.
Poet: :Abbas Chakwali – Mohsin Ryaz:
Noha Khuwan: :Kazmi Brothers:
Noha Volume: :Kazmi Brothers 2021-22:
Composition: :Syed Amar Ali Rab:
#AyameFatmiyah
#RoiJabLadliMuhammadKi
#NohayLyrics
#tajpoint