Allahu Akbar Bas Mola Haider Syed Wajhi,Sabeeh,Askari Hasan Zaidi Lyrics In Urdu and Roman Urdu
اللہ اکبر بس مولا حیدرؑ
Janab-e-Haider-e-Karrar, Saqi-e-Kausar.
Imam-e-Ronaq-e-Mehrab, Zeenat-e-Mimber.
Khadeway Hoor-o-Malak, Badshah-e-Jin-o-Bashar.
Jahan Panah, Yadullah, Qatil-e-Antar.
Barey Barey Sanamo Ko Bigarne Walay.
Kharey Kharey Dar-e-Khaybar Okharne Walay.
:Mirza ISHQ Lakhanvi:.
ALLAH Akbar Bas Maula Haider.
Kabay Ka Gohar Bas Maula Haider.
Ishq-e-Ali Ne Yeh Raaz Kholay.
Dar Pe Nabi Ke Salman Bolay.
Faroq-e-Azam Siddiq-e-Akbar.
Shafa-e-Mehshar Bas Maula Haider.
Ya Ali Hub Shma Shera Ye Eman Man Ast.
Serah-o-Sunnat Tu Mani Quran Man Ast.
Man Gadyai Zee Gadayan Tu Hastam Aaqa.
Khak Nalain Shma Surma Ye Chashman Man Ast.
Tu Shan-e-Aayat-e-Hal Attayi.
Tu Akhtar-e-Burj-e-Lafatayi.
Tu Qul Kafayi Tu Innamayi.
Mola-e-Qanbar Bas Maula Haider.
Waqif Hoye Hain Ramz-e-Baqa Se.
Serab Ho Kar Jam-e-Wila Se.
Nara Lagatay Hain Miqdad-o-Buzar.
Saqi-e-Kausar Bas Maula Haider.
Sardar-e-Dein, Ameer-e-Arab, Murtaza Ali.
Aali Nasab, Boland Hasab, Murtaza Ali.
Ayejad-e-Aasmaan Ka Sabab, Murtaza Ali.
Mashoq-e-Khalq, Ashiq-e-Rab, Murtaza Ali.
Sahib Kaho, Wali Kaho, Mushkil Kusha Kaho.
Sab Kuch Kaho Magar Na Ali Ko Khuda Kaho.
:Mir Monis:
Kis Ko Mila Hai Ilam-e-Laduni.
Kis Ne Kiya Ayelan-e-Saloni.
Jab Hum Ne Pocha Bola Yeh Mimber.
Hai Sab Ka Rehbar Bas Maula Haider.
ALLAH Akbar Bas Maula Haider.
Hai Woh Kaleem, Arsh-e-Barin Jis Ka Toor Hai.
Khursheed-e-Dein Hai, Ayeman-e-Emaan Ka Noor Hai.
Har Simt Zaat-e-Pak Ka Iss Ki Zahoor Hai.
Hai Jo Ali Se Door Woh Rehmat Se Door Hai.
Hai Rast Par Wohi Jisay Haider Se Rah Hai.
Hub-e-Ali Na Ho Tu Ibadat Gunah Hai.
:Mir Anees:
Molood-e-Kaba Shair-e-Khudai.
Tu Badshah-e-Arz-o-Samai.
Tu Mazhar-e-Noor-e-Kibriyai.
Aye Zarrah Parwar Ya Maula Haider.
ALLAH Akbar Bas Maula Haider.
Zarb-e-Ali Ke Dunya Hai Sadqay.
Do Neem Marhab Ke Karta Hai Tukray.
Shair-e-Ghazanfar, Qatil-e-Antar.
Fatah-e-Khaybar Bas Maula Haider.
ALLAH Akbar Bas Maula Haider.
Salami Zarrah Na Doon Aaftab Ke Badlay.
Na Loon Main Arsh Dar-e-Buturab Ke Badlay.
Jo Be Wilaye Aima Hain Sarf-e-Soam-o-Salat.
Unhein Azab Miley Ga Sawab Ke Badlay.
:DABEER: Mujh Ko Jo Aathon Bahisht De Rizwan.
Na Loon Main Aik Dar-e-Buturab Ke Badlay.
:Mirza Dabeer:
Dushman Ali Ka Hai Dushman Khuda Ka.
Kirdar Khum Mein Bhi Tha Abarha Ka.
Aa Kar Falak Se Haris Ke Sar Par.
Bola Yeh Kankar Bas Maula Haider.
ALLAH Akbar Bas Maula Haider.
Shair-e-Khuda Ka Yeh Mojza Hai.
Keh Bachpaney Se Hi Dast-e-Khuda Hai.
Dast-e-Ali Se, Tukron Mein Bat Kar.
Kehta Tha Azdar Bas Maula Haider.
ALLAH Akbar Bas Maula Haider.
Yeh :Shams: Maula Hai Tera Gadagar.
Magrib Se Batla Raha Hai Palat Kar.
Teri Hakomat Hai Arz-o-Falak Par.
Hai Noor-e-Dawar Bas Maula Haider.
Poet: :Shams Baltistani:
Manqabat Khuwan: :Syed Wajhi Hasan Zaidi:
Manqabat Khuwan: :Syed Sabeeh Hasan Zaidi:
Manqabat Khuwan: :Syed Askari Hasan Zaidi:
Manqabat Volume: :Syed Wajhi Hasan Zaidi 2021-22:
Composition: :Syed Sabeeh,Askari Hasan Zaidi:
#BasMolaHaider
#ManqabatLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com