Kasa Qaidi Hai Syed Zill E Raza Lyrics In Urdu and Roman Urdu
کیسا قیدی ہے
Umar Bhar Qaid Mein Jo Sahib-e-Aazar Raha.
Kaisa Qaidi Hai Jo Mar Kar Bhi Giraftar Raha.
Apni Zanjeron Ko Woh Chom Ke Rota Tha Sada.
Karbala Hi Ke Aseeron Pe Raha Mehway Boka.
Qaid Mein Sham Ke Qaidi Ka Azadar Raha.
Tauq Ke Zakhm Ke Har Dard Ko Woh Sehta Tha.
Karwatein Leta Tu Zakhmo Se Lahu Behta Tha.
Iss Aziyat Mein Woh Raton Ko Bhi Bedar Raha.
Pul Pe Baghdad Ke Kazim Ka Tha Aisay Lasha.
Be Kafan Shah Ka Maidaan Mein Tha Jaisay Lasha.
Teen Din Yeh Bhi Kafan Ka Hi Talabgar Raha.
Lash Baghdad Ki Galiyon Mein Addo Khainchtay They.
Oss Ki Mazlomi Bhala Kaisay Biyan Ho Paye.
Jis Ke Lashay Se Jahan Bar Sar-e-Paykar Raha.
Theek Se Jaag Saka Our Na Woh So Paya.
Qatal Ho Kar Bhi Woh Aazad Nahi Ho Paya.
Jab Talak Zindah Raha Jeene Se Bezaar Raha.
Zulm Sab Kofay Ke Baghdad Mein Duhraye Gaye.
Lash Ke Pairon Mein Rassi Thi Ghali Kochay They.
Yeh Bhi Muslim Ki Tarha Bekas-o-La Char Raha.
:ZILL-E-SAQLAIN: Ada Ajar-e-Risalat Yeh Howa.
Pul Pe Baghdad Ke Kazim Ka Para Hai Lasha.
Jeena Dushwar Tha Our Marna Bhi Dushwar Raha.
Poet: :Allama Syed Zille Saqlain Zaidi:
Noha Khuwan: :Syed Zill E Raza:
Noha Volume: :Syed Zill E Raza 2019-20:
Composition: :Syed Zill E Raza:
#KasaQaidiHai
#NohayLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com