Kazim Pay Intahaye Aseri Guzar Gayi Syed Zill e Raza Zaidi Lyrics In Urdu

Kazim Pay Intahaye Aseri Guzar Gayi Syed Zill e Raza Zaidi Lyrics In Urdu

کاظمؑ پہ اِنتہائے اسیری گُزر گئی

Zindan Mein Jawani-o-Peri Guzar Gayi.

Kitna Ghareeb Ho Gaya Jafar Ka Ladla.
Zehar-e-Jafa Se Mara Gaya Wa Musibata.
Aa Kar Yeh Oss Ki Lash Pe Sajjad Ne Kaha.
Sadmay Se Hain Nidhal Ali Our Syeda.
Gham Se Hai Ghair Haal Hasan Our Hussain Ka.
Kehte Hain Ro Ke Sare Aseeran e Karbala.
Zahra Jinna Se Lash Pe Roney Ko Aa Gayin.
Lashay Ko Dekha Our Yeh Noha Suna Gayin.
Iss Ke Badan Ka Gausht Tu Zanjeerein Kha Gayin.
Yeh Keh Ke Iss Ki Lash Pe Rotay Hain Mustafa.
Hathkariyaan Tauq-o-Beriyaan Hotin Nahi Juda.
Mar Kar Bhi Iss Ka Sara Badan Qaid Mein Raha.
Kaisay Biyaan Karon Sukhan-e-Dilkharash Ko.
Pul Par Rakha Gaya Hai Tan-e-Pash Pash Ko.
Koi Nahi Uthata Hai Qaidi Ki Lash Ko.
:SAQLAIN: Taziyat Hain Yeh Jumlay Imam Se.
Majlis Mein Hashar Barpa Hai Mere Kalam Se.
Aawaz Aik Bachi Ki Aati Hai Sham Se.
Poet: :Allama Syed Zille Saqlain Zaidi:
Noha khuwan: :Zill e Raza Zaidi:
Noha Volume: :Zill e Raza Zaidi 2019-20:
Composition: :Zill e Raza Zaidi:
#KazimPayIntahayeAseri
#NohayLyrics
#tajpoint

Leave a Comment

Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
100% Free SEO Tools - Tool Kits PRO
error: Content is protected !!