Raza Ke Baba Ka Zill e Raza Zaidi Lyrics In Urdu

Raza Ke Baba Ka Zill e Raza Zaidi Lyrics In Urdu

پڑا ہے پُل پہ جنازہ رضاؑ کے باباؑ کا

Para Hai Pul Pe Janaza Raza Ke Baba Ka.
Hawaein Parhti Hain Noha Raza Ke Baba Ka.
Pari Nahi Tan-e-Lagar Pe Garchay Shamsherein.
Badan Ka Gausht Magar Kha Gayin Hain Zanjeerein.
Howa Hai Haal Kuch Aisa Raza Ke Baba Ka.
Bani Sitam Ka Nishana Jo Lash Qaidi Ki.
Sada Baqiye Se Aati Thi Aik Bibi Ki.
Na Khaincho Galiyon Mein Lasha Raza Ke Baba Ka.
Jo Loag Ghair Hain Woh Sab Bulaye Jate Hain.
Paraye Dais Ke Mazdoor Laye Jate Hain.
Nahi Hai Koi Bhi Apna Raza Ke Baba Ka.
Nabi Ki Aal Pe Yeh Zulm Hain Aseeri Ke.
Badan Se Khoon Nahi Rukta Ghareeb Qaidi Ke.
Kafan Hai Khon Mein Doba Raza Ke Baba Ka.
Misal Aisi Koi Qaid Ki Suni Hi Nahi.
Keh Jaan Nikal Gayi Zanjeer Par Khuli Nahi.
Hai Lasha Lohay Mein Jakra Raza Ke Baba Ka.
Qadam Qadam Pe Hi Mazdoor Rotay Jate Hain.
Woh Khastagi Hai Keh Ruk Ruk Keh Lash Uthatay Hain.
Badan Kuch Aisay Hai Bikhra Raza Ke Baba Ka.
Gham-e-Imam Mein :SAQLAIN: Hai Bapa Giriya.
Suna Ke Noha Yeh Majlis Mein Aaj :ZILL-E-RAZA:.
Nabi Ko Deta Hai Pursa Raza Ke Baba Ka.
Poet: :Allama Syed Zille Saqlain Zaidi:
Noha khuwan: :Zill e Raza Zaidi:
Noha Volume: :Zill e Raza Zaidi 2023-24:
Composition: :Nayyar Abbas – Skardu:
#RazaKeBabaKa
#NohayLyrics
#tajpoint

Leave a Comment

Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
Best Wordpress Adblock Detecting Plugin | CHP Adblock
error: Content is protected !!