Jafar Ka Janaza Hai Ali Raza Rizvi Lyrics In Urdu and Roman Urdu
جعفرؑ کا جنازہ ہے
Masjid Se Payamber Ki Ayelan Yeh Hota Hai.
Jafar Ka Janaza Hai Jafar Ka Janaza Hai.
Kabay Ke Muhallay Mein Magmoom Madina Hai.
Jafar Ka Janaza Hai Jafar Ka Janaza Hai.
Kehti Hai Hawa-e-Gham Shawwal-e-Muharram Mein.
Sar Peetiye Ro Ro Kar Sarkar Ke Matam Mein.
Ghar Aaj Madine Mein Sadaat Ka Ujra Hai.
Az Roye Riwayat Jab Ashor Ka Din Aaya.
Uthta Tha Kissi Ghar Se Woh Shoor Qayamat Ka.
Jaisay Keh Koi Apna Apno Se Bicharta Hai.
Tha Zehar Ki Shiddat Se Yeh Haal Kalejay Ka.
Jaisay Keh Sar-e-Maqtal Pamal Koi Lasha.
Manzar Dil-e-Zahra Ko Ab Tak Yeh Rulata Hai.
Ik Noor Hidayat Ka Phir Uth Gaya Dunya Se.
Giriye Ki Sada Paihum Aati Hai Baqiya Se.
Kazim Ki Yateemi Ka Saman Youn Hota Hai.
Maula Ko Aziyat Jo Har Moor Pe Detey They.
Hain Aaj Janazay Mein Woh Loag Madine Ke.
Aasaar Batatay Hain Yeh Shehar Bhi Kofa Hai.
Sar Peetti Hain Behnein Saat Hai Yeh Mehshar Ki.
Roti Hain Pas-e-Pardah Phir Betiyaan Iss Ghar Ki.
Our Sath Janazay Ke Beton Ka Yeh Noha Hai.
Dekho Aye :RAZA: Yaan Par Hasnain Hain Haider Hain.
Kandhey Ke Liye :BUZAR: Mojood Payamber Hain.
Our Bain Se Zahra Ke Sad Pash Kaleja Hai.
Poet: :Syed Abuzar Hasnain:
Noha Khuwan: :Ali Raza Rizvi:
Noha Volume: :Ali Raza Rizvi 2021-22:
#JafarKaJanazaHai
#NohayLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com