Kya Karay Abbas Mir Hasan Mir Lyrics Urdu 2014
Kya Karay Abbas Mir Hasan Mir Lyrics
Rasan Mein Hath Bandhay Hain Behan Hai Be Pardah.
Sina Se Sar Na Giraye Tu Kya Karey Abbas.
Padar Ki Lash Se Oss Ko Choraya Jata Hai.
Sitam Hai Naqay Pe Tanha Bithaya Jata Hai.
Rasan Mein Bali Sakina Ka Bandh Raha Hai Gala.
Woh Kis Tarha Se Tasali De Aa Ke Madar Ko.
Kiya Hai Dasht Mein Do Bar Zibha Asghar Ko.
Lehad Se Aa Gaya Naizay Pe Jism Asghar Ka.
Chupa Ke Baloon Se Munh Sharmsar Hoti Hain.
Woh Pusht-e-Naqa Pe Ab Khud Sawar Hoti Hain.
Yeh Kaisa Waqt Hai Zahra Ki Betiyon Pe Para.
Dehan Lasha-e-Shabeer Se Hatana Tha.
Dobarah Syed-e-Sajjad Ko Bachana Tha.
Giri Hai Naqay Se Maqtal Mein Sani-e-Zahra.
Kahin Pe Qasim-o-Akbar Kahin Pe Aoun Ka Sar.
Kahin Hain Lal Ruqaiya Ke Our Kahin Asghar.
Woh Bachay Naizon Pe Hain Gaud Mein Jinhein Pala.
Hai Neel Chehray Pe Itnay Tamachay Marey Hain.
Laeen Ne Khainch Ke Kano Se Dur Utaray Hain.
Hai Dono Kano Se Masoom Ke Lahu Behta.
Sar Oss Ka Kaisay Sina Par Koi Utha Ke Chaley.
Jo Sheh Ke Samne Nazrein Sada Jhuka Ke Chaley.
Taqaza :MIR TAKALLUM: Hai Oss Ki Ghairat Ka.
Poet: :Mir Takallum Mir:
Noha Khuwan: :Mir Hasan Mir:
Noha Volume: :Mir Hasan Mir 2013-14:
#KyaKarayAbbas
#NohayLyrics
#tajpoint