Majlis Matam Karwayenge Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 2000
Majlis Matam Karwayenge Nadeem Sarwar.
Sab Karbala Ko Jaein Gay Majlis Matam Karwaein Gay.
Yeh Wirsa Martay Martay Bhi Hum Naslon Ko De Jaein Gay.
Jee Karta Hai Mere Maula Sab Karb-o-Bala Ko Jaein Gay.
Ghazi Ka Alam Uthaein Gay Dunya Se Qafilay Aaein Gay.
Jee Karta Hai Mere Maula Sab Karb-o-Bala Ko Jaein Gay.
Jab Subha Hogi Karbal Mein Hum Khak-e-Shifa Ko Chomein Gay.
Din Raat Wahan Sab Ahl-e-Azza Maula Ka Soag Manaein Gay.
Jab Dekhein Chand Muharram Ka Sab Jaein Khiyam-e-Hussaini Par.
Abbas Ke Khaimay Par Ruk Kar Jab Izn-e-Ziyarat Paein Gay.
Jab Pohanchin Gay Oss Manzil Par Asghar Ke Laga Tha Teer Jahan.
Bulwaein Gay Nanhay Bachoon Ko Sab Ko Pani Pilwaein Gay.
Matam Na Rukay Ga Ahl-e-Azza Akbar Ke Jahan Naiza Tha Laga.
Hum Khon-e-Ali Akbar Ki Qasam Noha Sughra Ka Sunaein Gay.
Darya Ke Kinaray Baith Ke Hum Roein Gay Woh Manzar Soch Ke Hum.
Jab Khoon Mein Bhara Aaya Tha Alam Yeh Soch Ke Ashk Bahaein Gay.
Jab Aath Muharram Aaye Gi Bachoon Ko Banaein Gay Saqqa.
Ik Roz Saja Ke Mashk-o-Alam Sharbat Pe Nazar Dilwaein Gay.
Jab Sham-e-Ghareebaan Aaye Gi Kiya Kiya Na Humein Rulwaye Gi.
Ik Jaltay Hoye Jholay Ki Shabeeh Yaad Aayi Tu Mar Jaein Gay.
Jis Telay Se Zainab Ne Kabhi Kattay Hoye Dekha Bhai Ka Sar.
Yaad Aaye Ga Rooz-e-Ashora Seene Gham Se Phat Jaein Gay.
Ashor Ka Din Jab Hoga Ayyaan Maula Se Kahin Gay Ro Ro Kar.
Daman Mein Chupa Lijiye Maula Hum Laut Ke Ghar Na Jaein Gay.
:REHAN: Ki Our :SARWAR: Ki Sada Hai Karb-o-Bala Se Wabasta.
Yeh Wirsa Martay Martay Bhi Hum Naslon Ko De Jaein Gay.
Poet: :Rehan Azmi:
Noha Khuwan: :Nadeem Sarwar:
Noha Volume: :Nadeem Sarwar 1999-2000:
#MajlisMatamKarwayenge
#NohayLyrics
#tajpoint