Ho Kahan Aun o Muhammad Meesum Kashmiri Lyrics Urdu 2022
Ho Kahan Aun o Muhammad Meesum Kashmiri.
Hai Zulm Ka Tofaan Ho Kahan Aoun-o-Muhammad.
Sar Nangay Hoi Maa Ho Kahan Aoun-o-Muhammad.
Aa Kar Tu Zarra Dekho Keh Maqtal Mein Sheh-e-Dein.
Hain Khon Mein Galtaan Ho Kahan Aoun-o-Muhammad.
Zainab Ne Jisay Pala Woh Humshakal-e-Payamber.
Kuch Dam Ka Hai Mehmaan Ho Kahan Aoun-o-Muhammad.
Khaimay Mein Alam Khali Hi Abbas Ka Aaya.
Sab Hotey Hain Giriyaan Ho Kahan Aoun-o-Muhammad.
Noshah Yeh Qasim Bhi Tu Ab Deen-e-Khuda Par.
Hone Ko Hai Qurbaan Ho Kahan Aoun-o-Muhammad.
Sheh Kehte They Be Sheer Ne Halqoom Pe Khayi.
Ik Zulm Ki Paikaan Ho Kahan Aoun-o-Muhammad.
Din Dhal Gaya Rotay Hoye Ab Dasht-e-Bala Mein.
Hai Sham-e-Ghareebaan Ho Kahan Aoun-o-Muhammad.
Zainab Ne Kaha Haye Re Hum Phirtay Hain Dar Dar.
Koi Nahi Pursaan Ho Kahan Aoun-o-Muhammad.
Lut Kar Jo Ghar Aayi Hai Tu :IZHAR: Tarap Kar.
Kehti Hai Yehi Maa Ho Kahan Aoun-o-Muhammad.
Poet: :Ali Izhar:
Noha Khuwan: :Meesum Kashmiri:
Noha Volume: :Meesum Kashmiri 2022-23:
Compostion: :Zohaib Hassan:
#HoKahanAunoMuhammad
#NohayLyrics
#tajpoint
Ho Kahan Aun o Muhammad Meesum Kashmiri Lyrics Urdu 2022 Write Up Poster Image
Video Link
اپنا کلام HD پوسٹر میں بنائیں!
اپنے کلام یا نوحے کا خوبصورت اور معیاری ایچ ڈی (HD) پوسٹر بنانے کے لیے ہمارا فری ٹول استعمال کریں۔
