Azadar E Karbala Wajhi Hasan Zaidi Lyrics In Urdu and Roman Urdu

Azadar E Karbala Wajhi Hasan Zaidi Lyrics In Urdu and Roman Urdu

عزادارِ کربلا

Mah-e-Azza Ka Chand Namodar Ho Gaya.
Our Ghar Mein Matami Ke Azakhana Bhi Saja.
Khuwaish Hai Karbala Ki Ziyarat Naseeb Ho.
Ik Bar Woh Bhi Dekh Le Roza Hussain Ka.
Pardais Mein Hai Aik Azadar-e-Karbala.
Karb-o-Bala Ko Jane Ki Karta Hai Woh Dua.
Mah-e-Azza Ka Chand Nazar Aaya Jab Ossay.
Zawwar Karbala Ko Chaley Oss Ke Samne.
Sughra Ke Dard-o-Gham Pe Woh Parhta Hai Marsiya.
Jholay Ko Dekh Kar Ossay Aata Hai Kya Khiyal.
Rota Hai Dil Hi Dil Mein Woh Karta Hai Yeh Sawal.
Main Kab Maqam-e-Hazrat-e-Asghar Pe Jaon Ga.
Rota Raha Jo Saat Muharram Ki Shab Lagi.
Ahl-e-Azza Mein Gaunj Thi Qasim Ke Naam Ki.
Mannat Uthai Mehndi Pe Jaon Main Karbala.
Hasrat Se Jab Bhi Dekha Azakhaney Mein Alam.
Aisa Laga Keh Kehte Hain Abbas Dam Ba Dam.
Ik Din Zaror Karbala Tujh Ko Balaon Ga.
Aanso Baha Raha Hai Woh Sar Peet Peet Kar.
Oss Par Gham-e-Hussain Ki Riqqat Ka Hai Asar.
Akbar Ka Zikar Oss Ne Musayab Mein Jab Suna.
Woh Karbala Ki Yaad Mein Rota Hai Be Panah.
Ashor Par Woh Jata Hai Chalees Bargah.
Ik Aas Par Keh Dekhey Ga Roza Hussain Ka.
Woh Sochta Hai Bali Sakina Ke Hoslay.
Yaad Aati Hai Hussain Ki Beti Ki Pyas Ossay.
Peeta Hai Jab Jaloos Mein Pani Sabeel Ka.
Oss Ko Tu Aik Pal Bhi Muyassar Nahi Hai Chain.
Woh Matami Hai Karta Hai Bas Matam-e-Hussain.
Daswein Ke Din Woh Karta Hai Zanjeer Our Qama.
Rakho Habib Ibn-e-Mazahir Pe Etimad.
Tujh Ko Bulaya Jaye Ga Karb-o-Bala :AIMAAD:.
Phir Zindagi Mein Aaye Ga Lamha Qarrar Ka.
Poet: :Syed Aimaad Naqvi:
Noha Khuwan: :Syed Wajhi Hassan Zaidi:
Noha Volume: :Syed Wajhi Hassan Zaidi 2022-23:
Composition: :Muzzamil Rizvi:
#AzadarEKarbala
#NohayLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com

Leave a Comment

Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
Best Wordpress Adblock Detecting Plugin | CHP Adblock
error: Content is protected !!