Mere Bazu Nahi Hain Syed Mudassir Mehdi Lyrics In Urdu and Roman Urdu
مرے بازو نہیں ہیں
Gaud Mein Hazrat-e-Shabeer Ke Abbas Ka Sar.
Bhai Bhai Se Juda Hone Ko Hai Darya Par.
Dil Mein Hasrat Rukh-e-Anwar Pe Paray Aik Nazar.
Bolay Abbas Yeh Zehmat Bhi Nahi Deta Magar.
Aankh Se Teer Nikalein Marey Bazu Nahi Hain.
Khon Aankhon Se Hataein Marey Bazu Nahi Hain.
Aakhri Bar Rukh-e-Syed-e-Abrar Dikhey.
Meri Aankhon Ko Mera Malik-o-Mukhtar Dikhey.
Khak-o-Khoon Rukh Se Hata Dein Marey Bazu Nahi Hain.
Mere Bazu They Salamat Tha Haram Ka Pardah.
Samna Kaisay Sakina Ka Main Kar Paon Ga.
Mera Lasha Na Uthaein Marey Bazu Nahi Hain.
Ik Taraf Hai Alam Our Aik Taraf Mashk Chidi.
Shayad Oss Mein Ho Sakina Ke Liye Kuch Pani.
Rait Se Mashk Uthaein Marey Bazu Nahi Hain.
Abhi Zindah Hoon Koi Aap Pe Hamla Na Karey.
Apni Talwar Uthaon Ga Main Inn Danton Se.
Bas Saharey Se Utha Dein Marey Bazu Nahi Hain.
Lab-e-Darya Se Alamdar Ki Aati Thi Sada.
Chal Gaya Aap Ke Halqoom Pe Khanjar Maula.
Haye Lutti Hain Ridaein Marey Bazu Nahi Hain.
sPoet: :Kamran Haider:
Noha Khuwan: :Syed Mudassir Mehdi:
Noha Volume: :Syed Mudassir Mehdi 2021-22:
Composition: :Akbar Abbas:
#MereBazuNahiHain
#NohayLyrics
#tajpoint