Haye Akbar Allah o Akbar Joan Rizvi Lyrics In Urdu and Roman Urdu

Haye Akbar Allah o Akbar Joan Rizvi Lyrics In Urdu and Roman Urdu

اللہ اکبر ہائے اکبرؑ اللہ اکبر

ALLAH Akbar Haye Akbar ALLAH Akbar.
Haye Azaan Akbar Ki Sun Ke Khaimon Mein Ik Shoor Hai Barpa.
Sansein Hain Shabeer Ki Jab Tak Jeeta Hai Humshakal-e-Payamber.
Mar Ke Akbar Ko Marein Gay Phir Shabeer Ko Sare Sitamgar.
Peet Ke Sar Roein Gi Zahra Dono Ki Lashon Pe Aa Kar.
Dasht Mein Har So Gaunj Raha Hai Yeh Akbar Ki Azaan Ka Noha.
Roti Hai Veeran Gharon Mein Aaein Gay Kab Laut Ke Pyaray.
Aane Walon Ke Rastay Mein Bethi Woh Apno Ko Pukarey.
Bhaiyya Akbar Jaldi Aa Ja Mar Na Jaon Gham Ke Marey.
Akbar Ko Lagta Tha Sadaein Deti Hai Ossay Roz Yeh Sughra.
Maqtal Mein Thehri Aye Hawao Ja Ke Yeh Sughra Ko Bata Do.
Armano Ke Jitnay Diye Bhi Tum Ne Jalaye Hain Woh Bhuja Do.
Akbar Ka Sehra Jo Sughra Tum Ne Banaya Hai Woh Barha Do.
Maqtal Mein Ab Sar Par Akbar Pehne Ga Haye Maut Ka Sehra.
Haye Udhar Akbar Se Moazin Ki Ashkon Se Tar Hai Sorat.
Gham Se Idhar Shabeer Ke Chehray Ki Badli Jati Hai Rangat.
Ro Ro Ke Abbas Our Qasim Dekhtey Hain Shabeer Ki Halat.
Ki Jo Azan Shorow Akbar Ne Ro Kar Thama Sheh Ne Kaleja.
Bhai Ki Hai Jan Behan Mein Sheh Ko Khabar Thi Woh Ghabrati.
Ran Ki Taraf Akbar Ko Jata Dekh Ke Sughra Na Seh Pati.
Akbar Ke Seene Mein Barchi Ka Suntay Hi Woh Mar Jati.
Hoti Yahan Sughra Tu Kaisay Dekhti Woh Bhai Ko Tarapta.
Roti Hain Khaimay Mein Dono Sun Ke Azaan Akbar Ki Abhi Tu.
Our Abhi Laila-o-Zainab Deti Hain Hosla Ik Dojay Ko.
Mar Hi Na Jaein Kahin Ro Ro Ke Oss Dam Gham Se Maein Dono.
Jab Zakhmi Maqtal Mein Ho Ga Barchi Se Akbar Ka Seena.
Akbar Teri Shadi Hai Par Sare Ghar Mein Soag Hai Chaya.
Teri Azaan Ne Manzar Aisa Hai Baratiyon Ko Dikhlaya.
Haye Akbar Keh Kar Tera Sehra Sab Ne Hai Seene Se Lagaya.
Tere Jeetay Jee Tujhe Akbar Roya Hai Zahra Ka Gharana.
Sans Labon Par Tha Akbar Ka Jab Sughra Ka Qasad Aaya.
Khol Aankhein Sheh Bolay Akbar Sughra Ne Hai Khat Bhajwaya.
Kya Likha Tha Behan Ne Apne Bhai Ko Jab Parh Ke Sunaya.
Sheh Kehte They Haye Akbar, Kehte They Akbar Haye Sughra.
Pathar Kha Kha Kar Hoon Gay Tab Parday Daroon Ke Zakhmi Sar.
Sar Ke Chupaney Ko Bhi :ASAD: Tab Ho Gi Kissi Ke Pas Na Chadar.
Ho Gi Qayamat Ki Woh Ghari Jab Bibiyaan Sab Darbar Ke Dar Par.
Pandrah Azanein Sunti Hoon Gi Akbar Ka Sar Naizay Pe Ho Ga.
Istefada-e-Astayi: :Lal Hussain Haideri:
Poet: :Asad Ali Asad:
Noha Khuwan: :Joan Rizvi:
Noha Volume: :Joan Rizvi 2022-23:
Composition: :Waheed Ul Hasan Kamalvi:
#HayeAkbarAllahoAkbar
#NohayLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com

Leave a Comment

Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
Best Wordpress Adblock Detecting Plugin | CHP Adblock
error: Content is protected !!