Hye Zindan Ki Ghutan Rizwan Zaidi Lyrics In Urdu and Roman Urdu

Hye Zindan Ki Ghutan Rizwan Zaidi Lyrics In Urdu and Roman Urdu

ہائے زندان کی گُھٹن

Qaid Khane Mein Jo Shabeer Ke Sar Ko Bhaija.
Thi Fizaon Mein Boland Aik Sada-e-Giriya.
Aik Bachi Ne Sar-e-Shah Ko Seene Pe Rakha.
Our Lipta Ke Sar-e-Sheh Se Sakina Ne Kaha.
Na Yahan Maa Na Phophi Hai Na Hi Bhai Baba.
Qaid Se Mujh Ko Mili Hai Na Rehai Baba.
Haye Zindaan Ki Ghutan Our Andhera Baba.
Aaj Bhi Qaid Mein Rehti Hai Sakina Baba.
Aap Ke Baad Padar Shimar Laeen Ne Mere.
Samne Ghazi Ke Iss Tarha Tamachay Marey.
Rang Badalta Raha Rukhsar-e-Sakina Baba.
Haye Bazar Mein Durron Ki Aziyat Sehtay.
Jab Sitamgar Mujhe Aa Ke Chobhatay Naizay.
Main Ne Har Bar Chacha Jan Pukara Baba.
Bhaiyya Abid Bhi Sirhaney They Marey Baqir Bhi.
Rait Par Gir Gayi Mein Aap Sanbhal Bhi Na Saki.
Jis Ghari Shimar Ne Mara Tha Tamacha Baba.
Kabhi Durron Kabhi Pathar Se Mujhe Mara Gaya.
Mere Zakhmo Se Kissi Toor Lahu Ruk Na Saka.
Ab Bhi Zakhmo Mein Hai Paiwast Yeh Kurta Baba.
Issi Tanhai Mein Din Raat Guzartay Hain Mere.
Kitni Sadiyon Se Nahi Dekhey Ujalay Main Ne.
Kyun Sakina Se Yeh Rotha Hai Ujala Baba.
Thi Faqat Chaar Baras Umar Madine Mein Meri.
Sham-o-Karbal Mein Meri Baba Kamar Toot Gayi.
Aap Ki Yaad Ne Kar Dala Zaeefa Baba.
Jis Ke Chehray Pe Kabhi Dhop Na Parney Detey.
Jis Ke Qadmo Ko Zameen Par Nahi Rakhne Detey.
Aaj Hai Khak Pe Woh Tera Saheefa Baba.
Aaj Bhi :ASIM:-o-:RIZWAN: Yeh Aati Hai Sada.
Mujh Se Milney Ali Asghar Ko Na Le Kar Aana.
Bhai Chota Hai Yahan Par Hai Andhera Baba.
Poet: :Asim Zaidi:
Noha Khuwan: :Rizwan Zaidi:
Noha Volume: :Rizwan Zaidi 2022-23:
Composition: :Rizwan Zaidi:
#HyeZindanKiGhutan
#NohayLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com

Leave a Comment

Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
Best Wordpress Adblock Detecting Plugin | CHP Adblock
error: Content is protected !!