Labbaik Ya Hussain Joan Rizvi Lyrics In Urdu and Roman Urdu
لبیک یاحسینؑ لبیک یاحسینؑ
Barhtey Chalo Soye Haram Sar Par Ho Ghazi Ka Alam.
Lab Par Ho Sab Ke Yeh Sada Labaik Ya Hussain.
Haider Ke Dil Ke Chain Zahra Ke Noor-e-Ain.
Labaik Ya Hussain Labaik Ya Hussain.
Tumhari Janib Jo Ibn-e-Zahra Yeh Barhtey Hain Qafilay.
Batatay Hain Kam Na Hoon Gay Dunya Ko Ishq Ke Silsilay.
Hazar Mushkil Ho Zairon Ke Na Kam Hoye Hoslay.
Yeh Bachay Borhay Our Jawaan Hain Alam Uthaye Rawaan Dawaan.
Hai Qurban Sheh Pe Jaan Kehte Hain Sab Yak Zabaan.
Hain Nangay Paon Jo Karbala Ki Taraf Yeh Sab Rukh Kiye.
Chaley Hain Zainab Ki Yaad Mein Yeh Hussain Tere Liye.
Aye Maula Inn Sab Ka Chal Ke Aana Qabool Kar Lijiye.
Jo Bhi Hai Mushkil Mein Ghira Oss Ko Hai Tera Aasra.
Zainab Ke Sadqay Mein Sun Lena Har Dil Ki Sada.
Jo Iss Baras Bhi Hussain Dar Par Tere Na Hain Aa Sakay.
Jo Tere Maqtal Mein Tere Gham Mein Lahu Baha Na Sakay.
Rahi Yeh Hasrat Keh Teri Turbat Pe Jaan Na Luta Sakay.
Ghazi Se Yeh Maula Kahin Naam Ab Ke Unn Sab Ke Likhein.
Fehrist Zaireen Ki Jis Waqt Woh Likhney Lagin.
Yeh Zairon Ke Liye Jo Mokib Kahin Lagatay Hain.
Jo Apne Hathoon Se Thanda Sharbat Unhein Pilatay Hain.
Jo Nam-e-Shabeer Par Tabaruk Unhein Khilatay Hain.
Unn Sab Ka Hai Yeh Martaba Razi Hain Sab Se Fatima.
Hur Ki Tarha Se Unn Sab Par Hain Rashk Kartay Anbiya.
Zahoor-e-Mehdi Ho Jab Tu Qabron Se Hum Bhi Oss Dam Uthein.
Imam-e-Mehdi Ki Hum Niyabat Mein Karbala Ko Chalein.
Aye Kash Sath Unn Ke Hum Bhi Paidal Younhi Mashi Karein.
Mehdi Ke Hum Sab Sath Hoon Seeno Pe Sab Ke Hath Hoon.
Aankhon Se Rawaan Hoon Ashk Pohanchay Youn Hum Sab Karbala.
Hai Lagta Zair Ko Jaisay Koi Galay Lagata Hai.
Biyan Kaisay Ho Sheh Ka Roza Nazar Jab Aata Hai.
Tu Sar Ko Ghazi Ke Dar Pe Zair Wahin Jhokata Hai.
Kehta Hai Ghazi Shukriya Mujhe Karbala Mein Bola Liya.
Banday Pe Yeh Karam Kiya Shabeer Se Jo Mila Diya.
Hain Jo Azadar-e-Shah-e-Wala Jahan Se Rukhsat Hoye.
Woh Apni Qabron Se Karbala Ki Taraf Hain Sab Ja Chukay.
Qaza Bhi Unn Ko Juda Nahi Kar Saki Hai Hussain Se.
Ashor Ho Ya Ho Arbaeen Hai :ASAD: Our :JOAN: Ko Yeh Yaqeen.
Matam Ke Har Halqay Mein Hotey Hain Woh Sab Wahin.
Poet: :Asad Ali Asad:
Noha Khuwan: :Joan Rizvi:
Noha Volume: :Joan Rizvi 2022-23:
Composition: :Own Rizvi:
#LabbaikYaHussain
#NohayLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com