Aaja Mere Bachay Meri Aagosh Mein Aaja Nadeem Sarwar Lyrics 1998
Aaja Mere Bachay Meri Aagosh Mein Aaja Nadeem Sarwar.
Ashor Ka Soraj Hai Qayamat Ki Ghari Hai.
Bhai Ka Galla Katta Behan Dekh Rahi Hai.
Maqtal Mein Kissi Maa Ki Sada Gaunj Rahi Hai.
Aa Aye Mere Hussain Meri Gaud Mein Aa Ja.
Aa Ja Mere Bachay Meri Aagosh Mein Aa Ja.
Mere Liye Aye Lal Tu Asghar Ki Tarha Hai.
Godi Meri Gehwara Hai Bistar Ki Tarha Hai.
Iss Dhoop Mein Daman Mera Chadar Ki Tarha Hai.
Main Maa Hoon Mera Dil Nahi Seene Mein Sanbhalta.
Nazuk Yeh Badan Tera Yeh Jalta Howa Sehra.
Our Oss Pe Sitam Yeh Hai Keh Tu Reh Gaya Pyasa.
Main Gaud Mein Le Loon Tujhey Seene Se Laga Loon.
Seene Pe Sakina Ki Tarha Tujh Ko Sula Loon.
Seene Ke Tere Teer Main Palkon Se Nikalon.
Aa Kar Mere Zanu Pe Jo So Jate They Beta.
Chaki Ki Moshaqqat Se Bhi Pehlu Nahi Badla.
Ab Kaisay Tujhe Chor Doon Maqtal Mein Akela.
Teri Bhi Tu Aoulad Hai Tu Bhi Tu Padar Hai.
Aoulad Ka Gham Kya Hai Yeh Tujh Ko Bhi Khabar Hai.
Gham Bachay Ka Seh Jaye Yeh Kis Maa Ka Jigar Hai.
Kyun Lait Gaya Thak Ke Tu Iss Jalti Zameen Par.
Yeh Kis Ka Lahu Tu Ne Mala Roye Haseen Par.
Mat Khak Pe So Lal Teri Maa Hai Yahin Par.
Jo Dil Pe Tere Guzri Main Sab Dekh Rahi Thi.
Har Lash Uthane Main Tere Sath Gayi Thi.
Ab Baat Woh Kehti Hoon Jo Bachpan Mein Kahi Thi.
Nohay Mein Biyaan Kaisay Karein :SARWAR-o-REHAN:.
Parh Sakta Nahi Koi Bhi Yeh Dard Ka Quran.
Maa Kehti Thi Reh Jaye Na Dil Mein Mere Arman.
Poet: :Rehan Azmi:
Noha Khuwan: :Nadeem Sarwar:
Noha Volume: :Nadeem Sarwar 1997-98:
#AajaMereBachay
#NohayLyrics
#tajpoint
Old Noha Aaja Mere Bachay Meri Aagosh Mein Aaja