Main Hoon Abbas-e-Ali Mir Hasan Mir Lyrics In Urdu and Roman Urdu

Main Hoon Abbas-e-Ali Mir Hasan Mir Lyrics In Urdu and Roman Urdu

مَیں ہوں عباسِؑ علیؑ

Main Hoon Abbas-e-Ali Main Hoon Abbas-e-Jarri.
Abu Talib Ki Wafaon Ka Asasa Main Hoon.
Shair-e-Yazdaan Ki Shujat Ka Khulasa Main Hoon.
Main Akela Hoon Jahan Mein Koi Sani Na Nazeer.
Meri Thokar Mein Zamana Main Ameeron Ka Ameer.
Yeh Taruf Bhi Ayyaan Karta Hai Meri Tauqeer.
Main Hoon Attaye Jahan Our Mera Aaqa Shabeer.
Himat-e-Tashna Labi Jurat-e-Ahsas Hoon Main.
Sari Dunya Mujhe Pehchan Le Abbas Hoon Main.
Mehram-e-Raz-e-Rasool-e-Do Sara Se Pocho.
Gar Yeh Uqdah Hai Kissi Uqdah Kusha Se Pocho.
Khas Nuqta Hai Issay Nuqta-e-Ba Se Pocho.
Meri Khilqat Ka Sabab Shair-e-Khuda Se Pocho.
Qirat-e-Ain-e-Rasool-e-Arbi Ki Khatir.
Main Tu Zindah Hoon Hussain Ibn-e-Ali Ki Khatir.
Pyas Honton Pe Jo Rakhon Tu Tajub Kya Hai.
Mur Ke Darya Ko Na Dekhon Tu Tajub Kya Hai.
Aag Pani Mein Laga Doon Tu Tajub Kya Hai.
Nehar Chulo Mein Sameto Tu Tajub Kya Hai.
Guftgu Jis Pe Sada Hogi Woh Unwan Hoon Main.
Kahin Nuqta Kahin Aayat Kahin Quran Hoon Main.
Jane Kya Zoam Hai Inn Maut Ke Beemaron Ko.
Tashna Lab Rakha Hai Kausar Ke Shehanshahoon Ko.
Khush Hain Hathoon Mein Sanbhalay Hoye Talwaron Ko.
Abhi Maloom Nahi Sham Ke Robahon Ko.
Main Paharon Ki Tanabon Ko Hila Sakta Hoon.
Nehar Totay Hoye Naizay Se Utha Sakta Hoon.
Koi Samjhay Tu Zarra Misra-e-La Saif Ki Baat.
Kuch Na Kuch Mujh Mein Bhi Mojood Hain Haider Ki Sifaat.
Jantay Hain Woh Jinhein Yaad Hai Siffeen Ki Raat.
Aik Hamla Hi Bohat Hoga Paye Qehat-e-Hayat.
Sheh Ragein Hoon Gi Juda Sar Ko Badan Tarsay Ga.
Aaj Pani Nahi Barsay Ga Lahu Barsay Ga.
Hai Mere Waar Ki Raftar Howa Ko Maloom.
Khadma Taig-e-Ali Hai Mere Hamlay Makhdoom.
Sabhi Jurat Ki Safon Mein Hai Azal Se Meri Dhoom.
Jism Jab Hone Lagin Gay Apni Jaan Se Mehroom.
Har Shujat Ke Dhani Ibn-e-Wali Aaye Hain.
Tum Yeh Kehte Hoye Bhago Gay Ali Aaye Hain.
Mere Sarkar Agar Hukam Mujhe Farmaein.
Dosri Sans Bhi Ashrar Na Lainay Paein.
Aik Hamlay Mein Nishanat-e-Jahan Mit Jaein.
Zalzalay Youn Mere Qadmo Ki Dhamak Se Aaein.
Kanp Uthay Sari Zameen Takht-e-Umayyah Totay.
Main Rakhon Ran Mein Qadam Our Dar-e-Kofa Totay.
Apne Dil Mein Hai Jawaan Fatah-e-Khaybar Ki Umang.
Sang Ko Moom Karein Hum Tu Kabhi Moom Ko Sang.
Zindagi Lamhon Mein Be Deno Pe Ho Jaye Gi Tang.
Bhool Jao Gaye Abhi Rustam-o-Sohrab Ki Jang.
Hum Jo Talwar Ke Qabzey Mein Kalai Dein Gay.
Inn Ke Ajdad Bhi Qabron Se Duhai Dein Gay.
Poet: :Bilal Kazmi:
Manqabat Khuwan: :Mir Hasan Mir:
Manqabat Volume: :Mir Hasan Mir 2005-06:
#MainHoonAbbaseAli
#ManqabatLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com

Leave a Comment

Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
100% Free SEO Tools - Tool Kits PRO
error: Content is protected !!