Aey Musafir Bekafan Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 2015
Aey Musafir Bekafan Nadeem Sarwar.
Aye Musafir Be Kafan Tu Khak Par Wa Hasrata.
Main Musafir Sham Ki Hoon Dushmano Mein Be Rida.
Bolein Zainab Aye Mere Maa Jaye Yeh Kya Haal Hai.
Kaisay Pehchano Tera Lasha Bohat Pamal Hai.
Aahre Anta Akhi Kya Hai Tu Hi Bhaiyya Mera.
Kya Tum Hi Ho Ibn-e-Zahra Kya Tum Hi Ibn-e-Ali.
Kya Tum Hi Bhai Hasan Ke Our Jan-e-Zainabi.
Aye Gul-e-Bag-e-Muhammad Haal Yeh Kya Hoga.
Na Rahi Nalain Na Malboos Na Dastar Hai.
Aye Ghareeb-e-Fatima Tu Khuld Ka Sardar Hai.
Aye Tan-e-Uryaan Tera Tu Aaj Sab Kuch Lut Gaya.
Main Rasan Basta Chali Wadah Nibhanay Ke Liye.
Ghar Mein Qatil Ke Teri Masnad Bichanay Ke Liye.
Kal Yehi Masnad Bana Doon Gi Teri Farsh-e-Azza.
Bhai Amma Our Nana Ka Padar Ka Wasta.
Baat Kar Mujh Se Baradar Khol De Aankhein Zara.
Dekh Tu Chehra Behan Ka Kis Qadar Murjha Gaya.
Lasha-e-Be Sar Tarap Kar Yeh Sada Deney Laga.
Aye Behan Wadah Nibha Ke Main Tu Maqtal Se Chala.
Thi Sada :REHAN-o-SARWAR: Haye Khwahar Alwida.
Poet: :Rehan Azmi:
Noha Khuwan: :Nadeem Sarwar:
Noha Volume: :Nadeem Sarwar 2015-16:
#AeyMusafirBekafan
#NohayLyrics
#tajpoint