Ana Ibne Makka o Mina 1 Nadeem Sarwar Lyrics Urdu 2012

Ana Ibne Makka o Mina 1 Nadeem Sarwar Lyrics Urdu 2012

Ana Ibne Makka o Mina 1 Nadeem Sarwar.

Biyan Karta Hoon Darbar-e-Sham Ka Manzar.
Jahan They Saat So Kursi Nasheen Fitna Gar.
Yazid Jhoom Raha Tha Sharab Pe Pe Kar.
Our Aisi Bazm Mein Afsoos Aal-e-Peygamber.
Tha Unn Ke Samne Ik Bad Kalam Mimber Par.
Biyan Karta Tha Jhotay Yazid Ke Johar.

Jab Oss Ne Khatam Ki Taqreer Bad Kalami Par.
Khateeb-e-Jehal Se Bolay Yeh Abid-e-Muztar.
Keh Tu Ne Khush Kiya Makhlooq Ko Zaror Magar.
Khareeda Qehar-e-Khuda Tu Ne Mukhtasir Zar Par.
Aray Jahan Ho Zikar-e-Bad Atwar Woh Mimber Kab Hai.
Lakriyon Ka Hai Woh Anbar Woh Mimber Kab Hai.

Kaha Yazid Se Kuch Main Kahon Ijazat De.
Yazid Chup Tha Tu Darbari Sare Kehne Lagay.
Yazid De De Ijazat Issay Bhi Kehne De.
Yeh Kya Kahey Ga Larazta Hai Jo Naqahat Se.
Sanbhalay Tauq-o-Rasan Shan-e-Kirdgar Aayi.
Imam Aaye Ke Mimber Pe Zulfiqar Aayi.

Ya Hussain, Ya Hussain.
Ya Hussain, Ya Hussain.
TAJpoINTs.com

Jis Ka Mimber Tha Wohi Barsar-e-Mimber Aaya.
Woh Akela Tha Magar Sorat-e-Lashkar Aaya.
Lab Kusha Sorat-e-Quran Woh Haider Aaya.
Jab Woh Khamosh Zabaan Barsar-e-Darbar Chali.
Karbala Mein Na Chali Thi Jo Woh Talwar Chali.
Ana Ibn-e-Maka-o-Mina, Ana Ibn-e-Zam Zam-o-Safa, Ana Ibn-e-Ali-o-Fatima.

Lehja-e-Noor Mein Maula Ne Kaha Bismillah.
Laiq-e-Hamd-o-Sana Hai Tu Wohi Aik Khuda.
Jis Ne Hum Aal-e-Muhammad Ko Hai Takhleeq Kiya.
Jis Ko Maloom Hai Maloom Hai Mera Shajrah.
Jo Nahi Janta Woh Sun Le Taruf Mera.
Ana Ibn-e-Maka-o-Mina, Ana Ibn-e-Zam Zam-o-Safa, Ana Ibn-e-Ali-o-Fatima.

Hum Ko ALLAH Ne Che Khobiyaan Bakhshein Ba Khuda.
Ilm Our Hilm Diya Our Dil-e-Momin Mein Rakha.
Hai Samaat-o-Fasahat-o-Shujat Wirsa.
Kam Na Thi Khobiyaan Che Jo Keh Yeh Izzat Ke Liye.
Sifatein Sath Milein Our Fazeelat Ke Liye.
Ana Ibn-e-Maka-o-Mina, Ana Ibn-e-Zam Zam-o-Safa, Ana Ibn-e-Ali-o-Fatima.

Hum Mein Awwal Jo They Woh Ahmad-e-Mukhtar Hoye.
Koi Hamza Tu Koi Jafar-e-Tayyar Hoye.
Hum Hi Haider Hoye Abbas-e-Alamdar Hoye.
Hum Ko Mairaj-e-Risalat Bhi Imamat Bhi Mili.
Hum Ko Mehrab-e-Ibadat Mein Shahadat Bhi Mili.
Ana Ibn-e-Maka-o-Mina, Ana Ibn-e-Zam Zam-o-Safa, Ana Ibn-e-Ali-o-Fatima.

Oss Ka Farzand Hoon Seh Roz Raha Jo Pyasa.
Darmiyaan Zeen-o-Zameen Jis Ka Raha Tha Lasha.
Jis Ke Sajday Ke Sabab Khak Bani Khak-e-Shifa.
Khak Our Khon Mein Doba Tha Amama Jis Ka.
Som-e-Aspaan Talay Ronda Gaya Lasha Jis Ka.
Ana Ibn-e-Maka-o-Mina, Ana Ibn-e-Zam Zam-o-Safa, Ana Ibn-e-Ali-o-Fatima.

Poet: :Rehan Azmi:
Noha Khuwan: :Nadeem Sarwar:
Noha Volume: :Nadeem Sarwar 2011-12:

#AnaIbneMakkaoMina
#NohayLyrics
#tajpoint

Old Noha Ana Ibne Makka o Mina 1 Nadeem Sarwar

Ana Ibne Makka o Mina 1 Nadeem Sarwar 2011-12

Ana Ibne Makka o Mina 1 Nadeem Sarwar Lyrics Urdu 2012 Write Up Poster Image

Ana Ibne Makka o Mina 1 Nadeem Sarwar Lyrics Urdu 2012

Video Link
Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
Best Wordpress Adblock Detecting Plugin | CHP Adblock
error: Content is protected !!