Buss Ya Hussain Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 2008

Buss Ya Hussain Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 2008

Buss Ya Hussain Nadeem Sarwar Lyrics

Aye Hur Kisay Mili Yeh Shahadat Ki Zaib-o-Zeen.
Baleen Pe Tere Aaein Hain Khud Madar-e-Hussain.
Iss Martabay Ke Baad Tu Sab Tujh Ko Mil Gaya.
Aye Hur Hussain Mil Gaye Rab Tujh Ko Mil Gaya.
Kuch Nahi Mila Ossay Tu Nahi Mila Jisay.
Tu Jis Ko Mil Gaya Rab Oss Ko Mil Gaya.

Yeh Bas Hussain Ki Atta Yeh Bas Hussain Ka Jigar.
Jo Keh Diya Woh Moatbar Jo De Diya Tu Sara Ghar.
Karam Hussain Ka Karam Kissi Pe Ho Gaya Agar.
Miley Kissi Ko Baal-o-Par Kissi Ko Mil Gaye Pisar.
Hur Bana Diya Ossay Jo Aik Bar Mil Gaya.
Tu Jis Ko Mil Gaya Rab Oss Ko Mil Gaya.
Bas Ya Hussain, Bas Ya Hussain, Bas Ya Hussain, Bas Ya Hussain.

Wa Tu Izzu Man Tasha Wa Tu Zillu Man Tasha.
Aadam Ki Pori Nasal Pe Ahsan Kaun Tha.
Jis Par Khuda Ko Naaz Woh Insan Kaun Tha.
Kunbay Ke Sath Deen Pe Qurban Kaun Tha.
Nook-e-Sina Pe Qari-e-Quran Kaun Tha.
Aye Karbala Bata Tera Mehman Kaun Tha.
Bas Ya Hussain, Bas Ya Hussain, Bas Ya Hussain, Bas Ya Hussain.

Bas Hussain Tha Jisay Yeh Ikhteyar Mil Gaya.
Yeh Ikhteyar Kitna Wasee-o-Boland Hai.
Sara Jahan Hussain Ki Muthi Mein Band Hai.
Badla Hai Karbala Mein Taqaza-e-Inqalab.
Naizay Pe Ab Jo Sar Hai Wohi Sar Boland Hai.
Aiwan Inbesat Mein Janat Na Kar Talash.
Yeh Tu Gham-e-Hussain Ke Aanso Mein Band Hai.

Shayar Syed Waheed Al Hasan Hashmi.

Dastaan Hussain Ki Samajh Mein Aa Gayi Agar.
Tu Hur Ki Reh Guzar Par Karey Ga Ishq Ka Safar.
Tarap Tarap Uthay Ga Tu Kahey Ga Raat Raat Bhar.
Hussain Bas Hussain Hai Sina Pe Ya Zameen Par.
Shah-e-Karbala Se Jis Ke Dil Ka Taar Mil Gaya.
Bas Ya Hussain, Bas Ya Hussain, Bas Ya Hussain, Bas Ya Hussain.

Ik Do Pehar Mein Jis Ne Bhara Ghar Luta Diya.
Nazaan Khuda Hai Jis Pe Woh Sajdah Ada Kiya.
Apne Lahu Se Khak Ko Khak-e-Shifa Kiya.
Ashor Aik Roz Tha Sadiyon Pe Cha Gaya.
Karb-o-Bala Ko Arsh-e-Mualla Bana Diya.
Bas Ya Hussain, Bas Ya Hussain, Bas Ya Hussain, Bas Ya Hussain.

Jab Ran Mein Zulfiqar-e-Ali Na Gehaan Chali.
Bich Bich Gayin Safon Pe Safein Woh Jahan Chali.
Chamki Tu Iss Taraf Udhar Aayi Wahan Chali.
Deney Ko Dad Arsh Se Pyasay Ki Maa Chali.
Muddat Ka Taal Meel Tha Barson Ka Sath Tha.
Jaisi Woh Zulfiqar Thi Waisa Hi Hath Tha.
Kha Kha Gayi Safon Ko Jidhar Aayi Zulfiqar.
Geh Chup Gayi Tu Ga Nazar Aayi Zulfiqar.
Sar Par Chamak Ke Taba Kamar Aayi Zulfiqar.
Zeen Kaat Kar Zameen Par Utar Aayi Zulfiqar.
Phir Tu Yeh Gul Howa Keh Duhai Hussain Ki.
ALLAH Ka Ghazab Hai Larai Hussain Ki.

Aayi Nida-e-Gaib Keh Shabeer Marhaba.
Iss Kam Ke Liye Thi Yeh Shamsheer Marhaba.
Yeh Aabro Yeh Jang Yeh Tauqeer Marhaba.
Bas Bas Hussain Bas Mere Dilgeer Marhaba.
Waqt-e-Namaz Asar Hai Takbeer Marhaba.
Bas Ya Hussain, Bas Ya Hussain, Bas Ya Hussain, Bas Ya Hussain.

Labaik Keh Keh Taig Rakhi Sheh Ne Mayan Mein.
Palti Sipah Aayi Qayamat Jahan Mein.
Lo Khanjron Mein Taigon Mein Bhalo Mein Ghir Gaye.
Tanha Hussain Barchiyon Walon Mein Ghir Gaye.
Bas Ya Hussain, Bas Ya Hussain, Bas Ya Hussain, Bas Ya Hussain.

:REHAN-o-SARWAR-E-: Hazeen Suno Yeh Aisa Raaz Hai.
Hussain Keh Rahe They Bas Khuda Pe Mujh Ko Naaz Hai.
Na Bhai Na Pisar Raha Na Koi Charah Saaz Hai.
Azan Hai Hussain Hai Khuda-e-Be Niyaz Hai.
Na Zeen Na Zameen Par Yeh Aakhri Namaz Hai.

Jis Ke Dil Mein Hussain Rehta Hai.
Farsh Majlis Ka Jo Bichata Hai.
Jo Bhi Noha Kahin Sunata Hai.
Le Ke Nam-e-Hussain Rota Hai.
Oss Ko Zahra Salam Karti Hain.

Poet: :Rehan Azmi:
Noha Khuwan: :Nadeem Sarwar:
Noha Volume: :Nadeem Sarwar 2007-08:

#BussYaHussain
#NohayLyrics
#tajpoint

Old Noha Buss Ya Hussain Nadeem Sarwar Lyrics

Buss Ya Hussain Nadeem Sarwar Lyrics Urdu

Buss Ya Hussain Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 2008 Write Up Poster Image

Buss Ya Hussain Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 2008

Video Link
Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
Best Wordpress Adblock Detecting Plugin | CHP Adblock
error: Content is protected !!