Kya Hum Bhi Tumhein Yad Atey Hain Ali Shanawar Lyrics In Urdu and Roman Urdu
کیا ہم بھی تمہیں یاد آتے ہیں
Sughra Ne Yeh Khat Akbar Ko Likha.
Kaisay Ho Mere Pyaray Bhaiyya.
Bichrey Hoye Arsa Beet Gaya.
Kab Tak Yeh Behan Dekhey Rasta.
Jab Ghar Ko Parinday Jate Hain.
Kya Hum Bhi Tumhein Yaad Aate Hain.
Lo Qasad Sughra Ghar Se Chala.
Likha Hai Batao Aye Bhaiyya.
Ab Tak Na Khiyal Aaya Mera.
Kya Aisi Hoi Hai Mujh Se Khata.
Kya Aisay Roth Ke Jate Hain.
Sab Chor Gaye Hum Ko Tanha.
Kis Haal Mein Hoon Kya Tum Ko Pata.
Beemar Ko De Ab Kaun Dawa.
Aa Jao Jo Tum Main Paon Shifa.
Jab Chain Se Sab So Jate Hain.
Jab Bali Sakina Our Asghar.
Miltay Hain Galay Tum Se Hans Kar.
Our Sath Mein Hoon Maa Our Padar.
Bas Itna Bata Bhaiyya Akbar.
Sab Ghar Mein Hanstay Hansatay Hain.
Jab Jab Bhi Musallay Par Bhaiyya.
Kartay Ho Namaz-e-Fajar Ada.
Beemar Ke Haq Mein Behar-e-Shifa.
Kartay Hain Dua Mere Baba.
Sab Apne Hath Uthatay Hain.
Qasim Jo Sakina Ko Bhaiyya.
Deta Hai Koi La Kar Tohfa.
Dono Se Galay Mil Kar Baba.
Detey Hain Dua Le Kar Bosa.
Our Pyar Se Sar Sehlatay Hain.
Jab Ghar Mein Khushi Ka Ho Samaan.
Sab Aik Jagah Hoon Peer-o-Jawaan.
Khush Dekh Ke Sab Ko Hoon Amma.
Aa Jaye Koi Ghar Mein Mehmaan.
Jab Dastar Khuwan Bichatay Hain.
Hasrat Hai Tera Sehra Dekhon.
Maa Jaye Tera Matha Chomo.
Batein Tu Bohat Hain Kya Likhon.
Nadaar Hoon Bhaiyya Kya Bhejon.
Ahbab Jo Tohfay Latay Hain.
Jab Zikar Kabhi Hota Hoga.
Maa Jaye Tumhari Shadi Ka.
Khush Hoon Gi Sakina Our Kubra.
Bandhay Ga Ali Akbar Sehra.
Khushiyon Ke Phool Khilatay Hain.
Kya Our Likhon Kya Batlaon.
Dil Cheer Ke Kaisay Dikhlaon.
Khud Aao Keh Tum Ko Bulwaon.
Bhaiyya Mein Tujhey Kaisay Paon.
Bas Tanha Ashk Bahatay Hain.
Qasad Jo Khat-e-Sughra Laya.
Ik Baap Kamar Thamay Tha Khara.
Bhai Ke Labon Par Tha Sughra.
Ro Ro Ke :SHANAWAR: Our :RAZA:.
Khat Sughra Ka Duhratay Hain.
Poet: :Raza Sirsivi:
Noha Khuwan: :Ali Shanawar:
Noha Volume: :Nadeem Sarwar 2013-14:
#KyaHumBhiTumheinYadAteyHain
#NohayLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com