Ya Zahra Ali Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 2016
Ya Zahra Ali Nadeem Sarwar Lyrics
Momino Qisa-e-Sadaat Suno.
Tham Kar Dil Yeh Meri Baat Suno.
Khoon Se Likhe Hoye Halaat Suno.
Noor-e-Konain Madina Hai Jahan.
Ik Muhalla Bani Hashim Hai Wahan.
Oss Muhallay Ke Hai Ik Ghar Ka Biyaan.
Jis Se Behatar Nahi Dunya Mein Makaan.
Deen-o-Eman Ke Kirdar Ka Ghar.
Panjtan Pak Ke Anwar Ka Ghar.
Dukhtar-e-Ahmad-e-Mukhtar Ka Ghar.
Fatima Haider-e-Karrar Ka Ghar.
Ladlay Inn Ke Hasan Our Hussain.
Our Do Betiyaan Thin Noor-e-Ain.
Aik Kulsoom Thi Ik Baap Ka Zeen.
Our Abbas Dil-o-Jan Ka Chain.
Ghar Yeh Tha Bait-e-Khuda.
Jis Mein Quraan Utra.
Our Kis Tarha Lota.
Inn Ka Rutba Na Zamana Samjha.
Kaisi Mazloom Magar Thin Zahra.
Baap Ke Gham Mein Bhi Roney Na Diya.
Haq Se Mehroom Kiya Wabata.
Aaj Bhi Jis Ki Lehad Be Saya.
Jis Pe Jalta Howa Darwaza Gira.
Ho Gayin Pehlu Shikasta Zahra.
Qatal Mohsin Bhi Howa Wawela.
Bad-e-Zahra Woh Ali Ka Giriya.
Masjid-e-Kofa Mein Phir Shoor Utha.
Haye Haider Pe Chali Taig-e-Jafa.
Thi Sada Fuztu Berab Al-Kaba.
Ghar Mein Zahra Ke Qayamat Thi Bapa.
Sar Se Saya Jo Utha.
Ghar Yeh Veeran Howa.
Thi Yateemo Ki Boka.
Haye Baba Haye Baba, Baba.
Bad-e-Haider Yeh Sitam Our Howa.
Khoon Mein Shabar Ka Janaza Doba.
Our Phir Deen Jo Mushkil Mein Ghira.
Tab Hussain Ibn-e-Ali Ghar Se Chala.
Karbala Jaisay Hi Pohancha Kunba.
Phir Tu Kya Zulm Na Syed Pe Howa.
Mil Ke Lakhon Ne Unhein Ghair Liya.
Teen Din Pehle Tu Pani Na Diya.
Our Phir Maqtal-e-Sadaat Saja.
Bhanjay Betay Bhatija Na Raha.
Na Woh Lashkar Na Alamdar Bacha.
Asar Se Pehle Woh Pal Min Ki Sada.
Chal Gayi Taig-e-Jafa.
Khon Bekas Ka Baha.
Sar Soye Naiza Gaya.
Tan Ko Aagosh Mein Zahra Ne Liya.
Aa Gayi Sham-e-Ghareebaan Haye Haye.
Our Phir Aag Lagi Khaimay Jalay.
Gash Se Jab Abid-e-Beemar Uthay.
Qaidi Kunbay Ke Woh Salar Banay.
Haye Sajjad Ne Kya Kya Dekha.
Sar Khulay Sham Mein Kunba Dekha.
Jashan Darbar Mein Hota Dekha.
Choti Humsheer Ka Lasha Dekha.
Qaid Se Chut Ke Chaley Karb-o-Bala.
Sab Ka Chehlum Kiya Matam Bhi Kiya.
Qafila Jab Yeh Madine Pohancha.
Ab Biyaan :SARWAR-o-REHAN: Ho Kya.
Haye Matam Tha Bapa.
Jab Yeh Zainab Ne Kaha.
Na Rahi Meri Rida.
Amma Main Aa Gayi Bhai Na Raha.
Poet: :Rehan Azmi:
Noha Khuwan: :Nadeem Sarwar:
Noha Volume: :Nadeem Sarwar 2015-16:
#YaZahraAli
#NohayLyrics
#tajpoint
Ya Zahra Ali Nadeem Sarwar Lyrics