Jab Hukm e Rehai Mila Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 2011

Jab Hukm e Rehai Mila Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 2011

Jab Hukm e Rehai Mila Nadeem Sarwar.

Jab Hukam-e-Rehai Mila Zindaan Se Haram Ko.
Ik Ghar Bhi Muyassar Howa Tarsida-e-Gham Ko.
Oss Ghar Pe Lagaya Gaya Ik Siyah Alam Ko.
Zainab Ne Kaha Rona Hai Dil Khol Ke Hum Ko.
Phir Farsh-e-Azza Mil Ke Aseeron Ne Bichaya.
Our Sham Ke Ghar Ghar Se Paye Pursa-o-Giriya.
Ik Ghool Azadar Khawateen Ka Aaya.
Phir Majlis-e-Awwal Ka Youn Aagaz Howa Tha.
Oss Majlis-e-Awwal Ki Jo Awwal Thi Khatiba.
Ghar Bhar Ki Azadar Wohi Zainab-e-Kubra.
Khutba Parha Aagaz Kiya Majlis-e-Gham Ka.
Haye Khutba Abhi Jari Tha Keh Ik Shoor Sa Utha.
Keh Sar Aate Hain Majlis Mein Shaheedan-e-Sitam Ke.
Aye Bibiyo Matam Karo Halqay Mein Haram Ke.

Haye Hum Lut Gaye.
Haye Barbad Hoye.
Haye Qaidi Banay.
Haye Dar Dar Phiray.
Haye Matam Karo.

Haye Pehle Wahan Ansar-e-Hussaini Ke Sar Aaye.
Hur, Jaun, Habib Ibn-e-Mazahir Ke Sar Aaye.
Wahab-e-Qalbi Awsaja Tashna Jigar Aaye.
Matam Howa Oss Pehle Azakhaney Mein Aisay.
Shehzadiyaan Rotin Hoon Sagay Bhai Ko Jaisay.

Haye Ik Chand Sa Sar Dekha Jo Khon Mein Tar Hai.
Sab Kehne Lagay Yeh Kissi Noshah Ka Sar Hai.
Farwa Ne Kaha Haan Yeh Mera Lakht-e-Jigar Hai.
Aray Qasim Mujhe Sehra Bhi Dikhaney Nahi Aaye.
Aray Zindan Se Amma Ko Churanay Nahi Aaye.

Haye Do Chotay Se Sar Gaud Mein Sajjad Jo Laye.
Zainab Ne Kaha Aoun-o-Muhammad Mere Aaye.
Aray Qurban Gayi Koi Meri Gaud Mein Laye.
Roi Nahi Matam Na Kiya Pyar Tu Kar Loon.
Aye Bhai Ijazat Hai Inhein Aaj Tu Ro Loon.

Haye Jaisay Hi Azakhaney Mein Akbar Ka Sar Aaya.
Zainab Ne Sar-e-Aoun-o-Muhammad Ko Hataya.
Aagosh Se Bhabhi Ki Sar Akbar Ka Uthaya.
Aray Chilaein Mere Lal Zara Aankhein Tu Kholo.
Aray Sughra Ke Liye Hai Koi Paigham Tu Bolo.

Haye Ik Chotay Se Syed Ka Jo Sar Samne Aaya.
Munh Ashkon Se Maa Ne Ali Asghar Ka Dholaya.
Har Bibi Ne Oss Sar Ko Kalejay Se Lagaya.
Aray Ro Ro Ke Sakina Ko Sada Deti Thi Madar.
Aray Aa Jao Tumhein Dhond Raha Hai Ali Asghar.

Haye Sar Aaya Wahan Jab Bani Hashim Ke Qamar Ka.
Rotay Hoye Har Bibi Ne Dukhra Yeh Sunaya.
Aye Zamin-e-Chadar Tu Bohat Dair Mein Aaya.
Yeh Dekh Ke Har Bibi Ka Sad Chak Jigar Tha.
Keh Pehlu Mein Alam Ke Hi Alamdar Ka Sar Tha.

Haye Sar Majlis-e-Shabeer Mein Shabeer Ka Aaya.
Har Bibi Ke Lab Pe Thi Sada Haye Hussaina.
Matam Ki Sadaon Mein Yeh Zainab Ne Sunaya.
Keh Aye Mere Akhi Dekh Teri Farsh-e-Azza Hai.
Matam Tera Iss Majlis-e-Awwal Mein Bapa Hai.

Haye Lootay Hoye Asbab Mein Jo Chezein Mili Thin.
Sadaat Se Yeh Sham-e-Ghareebaan Mein Chini Thin.
Tar Khon Mein Do Baliyaan Bhi Unn Mein Rakhi Thin.
Aye :SARWAR-o-REHAN: Azadari-e-Sheh Ka.
Tha Pehla Azakhana Saron Se Jo Saja Tha.

Poet: :Rehan Azmi:
Noha Khuwan: :Nadeem Sarwar:
Noha Volume: :Nadeem Sarwar 2010-11:

#JabHukmeRehaiMila
#NohayLyrics
#tajpoint

Old Noha Jab Hukm e Rehai Mila Nadeem Sarwar

Jab Hukm e Rehai Mila Nadeem Sarwar Lyrics

Jab Hukm e Rehai Mila Nadeem Sarwar Lyrics Urdu

Jab Hukm e Rehai Mila Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 2011 Write Up Poster Image

Jab Hukm e Rehai Mila Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 2011

Video Link
Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
Best Wordpress Adblock Detecting Plugin | CHP Adblock
error: Content is protected !!