Bhai Shabbir Fi Amanillah Nadeem Sarwar Lyrics Urdu 2005

Bhai Shabbir Fi Amanillah Nadeem Sarwar Lyrics Urdu 2005

Bhai Shabbir Fi Amanillah Nadeem Sarwar.

Jab Aayi Gayarah Muharram Maiyan-e-Karb-o-Bala.
Behan Ne Bhai Ke Phailay Hoye Lahu Se Kaha.
Aye Sheh-e-Be Kasaan Khuda Hafiz.
Aye Mere Bhai Jaan Khuda Hafiz.
Lo Chala Karwaan Khuda Hafiz.
Bhai Shabeer Fi Amanillah, Chali Humsheer Fi Amanillah.

Zameen Pe Bikhrey Hoye Noor Iss Behan Ka Salam.
Badan Dareda-o-Majboor Iss Behan Ka Salam.
Chali Hai Tum Se Bohat Door Iss Behan Ka Salam.
Misal-e-Fatima Har Dukh Mein Muskuraon Gi.
Hussain Zindah Hai Dunya Ko Main Bataon Gi.

Salam Umm-e-Abeeha Ke Gaud Ke Palay.
Salam Kartay Hain Zahra Ke Hath Ke Chalay.
Salam Zulf-e-Muhammad Se Khailney Walay.
Parin Gay Durray Tu Main Sabar Aazmaon Gi.
Hussain Zindah Hai Dunya Ko Main Bataon Gi.

Yeh Gham Nahi Hai Keh Main Sogowar Qaidi Hoon.
Abu Turab Ki Our Fatima Ki Beti Hoon.
Main Iss Kalejay Mein Qowat Ali Ki Rakhti Hoon.
Yazid-e-Waqt Ke Khaybar Ko Main Giraon Gi.
Hussain Zindah Hai Dunya Ko Main Bataon Gi.

Rahe Wafa Ke Bahatar Musafiron Ki Qasam.
Lab-e-Furat Sulagtay Hoye Gharon Ki Qasam.
Sina Ki Nook Pe Rakhay Hoye Saron Ki Qasam.
Jalal-e-Hazrat-e-Abbas Ban Ke Chaon Gi.
Hussain Zindah Hai Dunya Ko Main Bataon Gi.

Khushi Se Ahl-e-Sitam Bandh Lein Mere Bazu.
Banein Gay Nooh Ka Tofan Ab Mere Aanso.
Na Chup Sakay Gi Yeh Khon-e-Hussain Ki Khushbo.
Main Sar Khulay Hoye Darbar-e-Sham Jaon Gi.
Hussain Zindah Hai Dunya Ko Main Bataon Gi.

Nigah Janib-e-Darya Uthi Tu Itna Kaha.
Mere Dalair Alamdar Fatah-e-Darya.
Tujhe Khabar Hai Mere Sar Se Chin Gayi Hai Rida.
Tere Alam Ka Pharera Rida Banaon Gi.
Hussain Zindah Hai Dunya Ko Main Bataon Gi.

Jo Pohanchi Sham Tu Bazar Ko Saja Dekha.
Kabhi Najaf Tu Kabhi Soye Karbala Dekha.
Pukari Baba Mera Tum Ne Hosla Dekha.
Jahan Bhi Jaon Gi Farsh-e-Azza Bichaon Gi.
Hussain Zindah Hai Dunya Ko Main Bataon Gi.

Suna Hai :SARWAR-o-REHAN: Khwahar-e-Shabeer.
Ali Ke Lehjay Mein Karti Thi Jis Ghari Taqreer.
Yazid-o-Shimar Ke Seene Pe Chalti Thi Shamsheer.
Woh Jab Yeh Kehti Thi Waday Ko Main Nibhaon Gi.
Hussain Zindah Hai Dunya Ko Main Bataon Gi.

Poet: :Rehan Azmi:
Noha Khuwan: :Nadeem Sarwar:
Noha Volume: :Nadeem Sarwar 2004-05:

#BhaiShabbirFiAmanillah
#NohayLyrics
#tajpoint

Old Noha Bhai Shabbir Fi Amanillah Nadeem Sarwar

Bhai Shabbir Fi Amanillah Nadeem Sarwar Lyrics Urdu 2005 Write Up Poster Image

Bhai Shabbir Fi Amanillah Nadeem Sarwar Lyrics Urdu 2005

Video Link
Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
100% Free SEO Tools - Tool Kits PRO
error: Content is protected !!