Woh Khaime Jal Raha Hain Nadeem Sarwar Lyrics Urdu 1997
Woh Khaime Jal Raha Hain Nadeem Sarwar.
Woh Khaimay Jal Rahe Hain Yeh Sham-e-Ghareebaan Hai.
Yeh Ban Mein Bikhri Lashein Ab Sham Ka Zindaan Hai.
Ik Do Pehar Mein Ujra Ghar Aisay Fatima Ka.
They Jis Jagah Pe Khaimay Ab Oss Jagah Dhowaan Hai.
Akbar Ne Jab Azaan Di Yeh Bekasi Kahan Thi.
Woh Subha Ki Azaan Thi Yeh Sham Ki Azaan Hai.
Be Sar Koi Namazi Be Dast Koi Ghazi.
Seene Mein Ik Jawaan Ke Tooti Hoi Sina Hai.
Pehra Badal Gaya Hai Zainab Hai Karbala Hai.
Zainab Ke Hath Mein Ab Abbas Ka Nishaan Hai.
Kya Dhondti Hai Seena Aa Pas Aa Sakina.
Seene Pe Soney Wali Baba Tera Yahan Hai.
Maula Ali Jo Aaye Zainab Pukari Haye.
Ghar Lut Gaya Hai Baba Kunba Lahu Lahan Hai.
Ab Sham Ka Safar Hai Har Bibi Nangay Sar Hai.
Be Jurm Qaidiyon Ka Sajjad Sarbaan Hai.
Bazar-e-Sham Dekha Darbar-e-Sham Dekha.
Sham-e-Ghareebaan Har Dam Zainab Ki Noha Khuwaan Hai.
:REHAN: Hoon Keh :SARWAR: Hain Syeda Ke Nokar.
Ik Noha Go Hai Inn Ka Ik Inn Ka Noha Khuwaan Hai.
Poet: :Rehan Azmi:
Noha Khuwan: :Nadeem Sarwar:
Noha Volume: :Nadeem Sarwar 1996-97:
#WohKhaimeJalRahaHain
#NohayLyrics
#tajpoint