Alam Abbas Ka Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 2003

Alam Abbas Ka Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 2003

Alam Abbas Ka Nadeem Sarwar Lyrics

Aye Karbala Bata Aye Alqama Bata.
Tanha Hussain Dekh Rahe They Yeh Majra.
Aaya Tha Kis Tarha Se Tarai Pe Bawafa.
Our Kis Tarha Se Khon Mein Tar Ho Ke Reh Gaya.

Yeh Woh Alam Hai Jis Se Shaheedon Ki Shan Hai.
Qurbaniyon Ka Naam Wafa Ka Nishan Hai.
Bachoon Ki Aabro Hai Sakina Ki Jan Hai.

Lehra Raha Hai Iss Ka Pharera Hawaon Mein.
Iss Ki Bolandiyon Ka Hai Charcha Fizaon Mein.
Sab Karbala Hai Iss Ke Phareray Ki Chaon Mein.

Phaila Howa Hai Iss Ka Jo Saya Hussain Tak.
Rasta Issi Ne Sab Ko Dikhaya Hussain Tak.
Hur Bhi Issi Ko Dekh Ke Aaya Hussain Tak.

Pyason Ka Iss Alam Mein Safena Bhi Dekhiye.
Panjay Mein Roshni Ka Khazeena Bhi Dekhiye.
Lipati Hoi Hai Mashk-e-Sakina Bhi Dekhiye.

Dekh Iss Alam Ke Saye Mein Yakja Hai Kaun Kaun.
Qasim Hain Wahab-e-Kalbi-o-Abis Umair-o-Aoun.
Akbar Se Khobro Ke Barabar Kharey Hain Jaun.

Ghazi Ke Khon Se Jo Mili Hai Baqa Issay.
Hasil Yeh Iftikhar Rahe Ga Sada Issay.
Har Door Mein Uthaein Gay Ahl-e-Azza Issay.

Betay Bichar Gaye Hain Yeh Dil Ko Malal Hai.
Lekin Behan Ko Bhai Ke Haq Ka Sawal Hai.
Zainab Ko Har Dua Mein Issi Ka Khiyal Hai.

Aye Tashna Lab Wafaon Ke Darya Salam Le.
Har Apne Sogowar Ka Pyasa Salam Le.
Aye Karbala Ke Dast-e-Buredah Salam Le.

Hum Ko Jo Yeh Tarai Mein Behar-e-Karam Mila.
Tareekh Ko :HILAL: Kahan Yeh Hasham Mila.
Zainab Ki Yeh Dua Thi Ke Aisa Alam Mila.

Poet: :Dr Hilal Naqvi:
Noha Khuwan: :Nadeem Sarwar:
Noha Volume: :Nadeem Sarwar 2002-03:

#AlamAbbasKa
#NohayLyrics
#tajpoint

Alam Abbas Ka Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 2003 Write Up Poster Image

Alam Abbas Ka Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 2003

Video Link
Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
100% Free SEO Tools - Tool Kits PRO
error: Content is protected !!