Gunj Raha Hai Ya Hussain Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 2005
Gunj Raha Hai Ya Hussain Nadeem Sarwar.
Mere Lahu Ke Har Qatrey Mein Gaunj Raha Hai Ya Hussain.
Ab Tu Sab Ka Wird-e-Zabaan Bhi Rehne Laga Hai Ya Hussain.
Aap Ki Kya Shan Hai Maula Bolta Quran Hai Maula.
Fatima Ki Jan Hai Maula Marzi-e-Subhan Hai Maula.
Karbala Ka Fatah-e-Azam Ba Khuda Hai Waris-e-Aadam.
Ja Baja Phailay Tere Parcham Ta Abad Hoga Tera Matam.
Teen Din Ki Tashnagi Maula Haye Teri Bekasi Maula.
Khushk Gardan Par Churi Maula Karbala Kehti Rahi Maula.
Kis Tarha Bholein Gay Woh Manzar Jab Chala Tha Halq Pe Khanjar.
Jab Sina Ki Nook Pe Tha Sar Bool Utha Quraan Tere Lab Par.
Yeh Sabeelein Yeh Azakhaney Aankh Mein Ashkon Ke Paimanay.
Matami Laye Hain Nazranay Ab Janab-e-Syeda Jane.
Yeh Teri Maula Azadari Zindagi Se Bhi Humein Pyari.
Hai Yehi Tujh Se Wafadari Ashk Aankhon Se Rahein Jari.
Waris-e-Quran Zindah Baad Rehbar-e-Insan Zindah Baad.
Mazhar-e-Eman Zindah Baad Fatima Ki Jan Zindah Baad.
Asslam Aye Malik-e-Kausar Assalam Aye Kushta-e-Khanjar.
Asslam Aye Jan-e-Peygamber Kehte Hain :REHAN: Our :SARWAR:.
Poet: :Rehan Azmi:
Noha Khuwan: :Nadeem Sarwar:
Noha Volume: :Nadeem Sarwar 2004-05:
#GunjRahaHaiYaHussain
#NohayLyrics
#tajpoint