Aun o Muhammad Merey Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 2005

Aun o Muhammad Merey Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 2005

Aun o Muhammad Merey Nadeem Sarwar.

Kehti Thi Zainab Aye Mere Shero Kehti Thi Zainab Mere Dalero.

Khuwab Yeh Zainab Ka Tha Chand Sitarey Mere Chand Sitarey.
Mamo Pe Hoon Gay Fida Gaud Ke Palay Mere Gaud Ke Palay.
Khuwab Yeh Sacha Howa Sar Mera Oncha Raha Hone Ko Sheh Par Fida.
Lal Mere Shair Mere Chand Mere.

Jafar-e-Tayar Ke Khon Ke Akas Ho Khon Ke Akas.
Husan Mein Akbar Ho Tum Josh Mein Abbas Ho, Josh Mein Abbas.
Jang Ke Maidan Mein Maut Ke Arman Mein Saya-e-Quran Mein.
Aisay Utho Aisay Barho Maut Pe Tum Toot Paro.

Haan Meri Takeed Par Dehyan Tumhara Rahe Dehyan Tumhara.
Ja Ke Lab-e-Nehar Bhi Pyas Gawarah Rahe Pyas Gawarah.
Doodh Na Bakhshoon Gi Main Munh Bhi Na Dekhon Gi Main.
Shair Ki Beti Hoon Main Wadah Karo Aao Chalo Chup Na Raho.

Mana Keh Pyasay Ho Tum Pyas Pe Qabo Rahe Pyas Pe Qabo.
Sheh Ke Alamdar Ki Sath Mein Khushbo Rahe Sath Mein Khushbo.
Bas Hai Tamana Meri Laaj Rahe Khon Ki Hai Yeh Wasiyat Meri.
Khao Qasam Jah-o-Hasham Hoga Na Kam.

Aoun Yeh Kehne Laga Bhai Muhammad Suno Bhai Muhammad.
Aik Taraf Main Barhoon Aik Taraf Tum Barho Aik Taraf Tum.
Jang Ho Foaj-e-Sitam Jang Karein Aisay Hum Mamo Humein Dein Alam.
Dekhein Humein Amma Kahin Jeetay Rahein.

Dono Jari Jang Ko Sorat-e-Aandhi Barhey Sorat-e-Aandhi.
Nana Ali Ki Tarha Maut Pe Havi Rahe Maut Pe Havi.
Mil Ke Jo Hamla Kiya Maimana-o-Maisara Aik Mein Zam Ho Gaya.
Taig-e-Ali Aisi Chali Dhoom Machi.

Dekh Rahi Thi Jo Maa Khaimay Ke Dar Par Khari Khaimay Kar Dar Par.
Sath Wahin They Kharey Hazrat-e-Abbas Bhi Hazrat-e-Abbas.
Bhai Behan Shad They Sahib-e-Aoulad They Waris-e-Ajdad They.
Kehne Lagay Khoob Laray Shair Mere.

Lartay Kahan Tak Bhala Pyas Ke Marey Hoye Pyas Ke Marey.
Jalti Hoi Khak Par Dono Tarapney Lagay Dono Tarapney.
Bhai Se Kehne Lagi Fakhar Se Bint-e-Ali Surkh Ro Zainab Hoi.
Sadqay Tere Bhai Mere Lal Hoye.

Aoun-o-Muhammad Na They Woh Dur-e-Nayab They Woh Dur-e-Nayab.
:SARWAR-o-REHAN: Woh Waqif-e-Aadab They Waqif-e-Aadab.
Hukam Jo Maa Ne Diya Rukh Na Kiya Nehar Ka.
Pyas Ka Sadma Saha Maa Ne Kaha Shukar-e-Khuda Hoye Fida.

Poet: :Rehan Azmi:
Noha Khuwan: :Nadeem Sarwar:
Noha Volume: :Nadeem Sarwar 2004-05:

#AunoMuhammadMerey
#NohayLyrics
#tajpoint

Old Noha Aun o Muhammad Merey Nadeem Sarwar

Aun o Muhammad Merey Nadeem Sarwar Old Nohay Lyrics

Aun o Muhammad Merey Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 2005 Write Up Poster Image

Aun o Muhammad Merey Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 2005

Video Link
Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
100% Free SEO Tools - Tool Kits PRO
error: Content is protected !!