Dua e Kumail Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 2003

Dua e Kumail Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 2003

Dua e Kumail Nadeem Sarwar Lyrics

Tu Hi Kabeer Tu Hi Kibriya Tu Rah Numa.
Rag-e-Galu Se Bhi Nazdeek Tu Har Aik Lamha.
Hai Tere Naam Ki Taseer Har Marz Ki Dawa.
Hai Tere Zikar Mein Poshida Mere Haq Mein Shifa.
Beghair Mangay Hi Karta Hai Tu Atta Pe Atta.
Sada Se Pehle Hi Sunta Hai Sailon Ki Sada.

Ali Waseela Banay Our Kumail Paye Shifa.
Ossi Ke Naam Se Mansoob Ho Gayi Yeh Dua.
Shab-e-Juma Hai Dua-e-Kumail Shukar Tera.
Yeh Ibtida Hai Tu Hai Inteha Hadees-e-Kisa.
Elahi Teri Riza Ke Siwa Kuch Our Nahi.
Keh Mere Pas Dua Ke Siwa Kuch Our Nahi.

Mere Khuda Woh Zabanein Jo Teri Hamd Karein.
Woh Tere Panjtan-e-Pak Ki Dua Mein Rahein.
Kabhi Woh Nar-e-Jahanum Ki Sakhtiyaan Na Sahein.
Pul-e-Sirat Se Be Khof-o-Be Khatar Guzrein.
Gunah Garoon Ko Yeh Aasra Hai Subha-o-Masa.
Khula Howa Hai Musalsal Tera Dar-e-Toba.

Rasool-e-Pak Ke Sadqa Mein Aye Khuda Ghar Ghar.
Shua-e-Ilm Ki Kirno Ka Mustaqil Ho Guzar.
Khula Rahe Mere Bachoon Pe Shehar-e-Ilm Ka Dar.
Rahe Jawano Ki Har Dam Teri Riza Pe Nazar.
Teri Riza Ke Bina Rizq-e-Ilm Kya Ho Atta.
Jo Tu Na Chahe Dar-e-Ilm Khul Nahi Sakta.

Tu Mere Aib Chupata Hai Daal Kar Pardah.
Elahi Deta Hoon Main Tujh Ko Wasta Iss Ka.
Wohi Jo Sham-e-Ghareebaan Mein De Rahi Thi Sada.
Nahi Hai Kuch Bhi Mere Pas Iss Rida Ke Siwa.
Rasool Zadi Ke Pardah Ki Laaj Rakh Lena.
Bharam Duaon Ka Meri Bhi Aaj Rakh Lena.

Shikasta Pehlu-e-Zahra Ka Wasta Aye Khuda.
Jo Waqt-e-Ghusal Ali Ne Basad Boka Dekha.
Tu Apne Aanso Ali Sa Jari Na Rook Saka.
Khuda Ka Shair Bhi Ik Cheekh Mar Kar Roya.
Ossi Rasool Ki Beti Ka Wasta Hai Khuda.
Ho Waldain Ko Sehat Ke Sath Umar Atta.

Woh Ik Mareez Jo Assham Keh Ke Rota Tha.
Jhukaye Sar Woh Haya Daar Rota Jata Tha.
Pehan Ke Beriyaan Jo Karbala Se Sham Gaya.
Ossi Mareez Ke Sadqay Se Mangtay Hain Shifa.
Marz Se Pehle Dawa Khalq Ki Hai Tu Ne Khuda.
Bara-e-Syed-e-Sajjad De Humein Bhi Shifa.

Elahi Syedi Molai Ya Azeez-o-Hakeem.
Jaleel-o-Qadir-o-Jabar-e-Al-Ali-o-Azeem.
Teri Hi Hamd Hai Tu Rab-e-Al-Alameen-o-Raheem.
Gham-e-Hussain Ke Sadqay Karam Ho Hum Par Kareem.
Sada-e-:SARWAR-o-REHAN: Sun Mere ALLAH.
Baroz-e-Hashar Ho Saya-e-Rida-e-Zahra Ka.

Poet: :Rehan Azmi:
Noha Khuwan: :Nadeem Sarwar:
Noha Volume: :Nadeem Sarwar 2002-03:

#DuaeKumail
#NohayLyrics
#tajpoint

Old Noha Dua e Kumail Nadeem Sarwar Lyrics

Dua e Kumail Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu

Dua e Kumail Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 2003 Write Up Poster Image

Dua e Kumail Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 2003

Video Link
Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
Best Wordpress Adblock Detecting Plugin | CHP Adblock
error: Content is protected !!