Dua-e-Tawassul Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 2000
Dua-e-Tawassul Nadeem Sarwar
Bar Elaha Ban Ke Sawali Tere Hazoor.
Daman Mein Apne LayeHain Be-Inteha Qasoor.
Lekin Hamare Seeno Pe Matam Ka Dekh Noor.
Apne Nabi Ke Sadqe Mein Bakhshe Ga Zaror.
Mula Ali Ka Rab-e-Jahaan Tujh Ko Wasta.
Ya Rab Bara-e-Fatima Sadiqa Tahira.
De Ilm Our Rizq Ka Saghar Bhara Howa.
Tote Na Naimaton Ka Mere Ghar Se Silsila.
Malik Tujhe Imam-e-Hassan Ka Hai Wasta.
Jis Ke Laho Se Karb-o-Bala Ki Hai Ibtida.
Haan Oss Imam-e-Aman Ke Sadqe Mein Kibriya.
Iss Mulk Mein Ho Aman Kar Parcham Khula Howa.
Ab Wasta Hussain Alh-e-Salam Ka.
Parwardigar Sabar-o-Sheh-e-Tishna Kaam Ka.
Jis Ke Labon Pe Wird Tha Tere Hi Naam Ka.
Khanjar Tale Jo Qari Tha Tere Kalam Ka.
Ya Rab Tu Meri Hasti Ko Aisa Sanwar De.
Tu Apni Rehmaton Se Mera Ghar Nikhar De.
Sajjad Ka Tu Sadqa Aye Parwardigar De.
Bemar Ko Shifa De Mukamil Qarar De.
Malik Imam-e-Baqir-o-Jafar Ka Wasta.
Majlis Mein Main Hussain Ki Karta Hoon Yeh Dua.
Dono Ka Wasta Tujhe Deta Hoon Aye Khuda.
Maqrooz Jo Hain Ghaib Se Kar Unn Ka Qarz Adda.
Ya Rab Bara-e-Mosa Kazim Ali Raza.
Mashad Mein Our Najaf Mein Jo Hain Qibla-e-Dua.
Tu Inn Ke Waste Se Woh Aulad Kar Atta.
Maa Baap Jiss Se Shad Hoon Jin Ki Ho Yeh Sada.
Ya Rab Bara-e-Mula Naqi Taqwa-o-Taqi.
De Jazba-e-Jihad Basad Shan-e-Askari.
Mehdi Ka Bhi Zahoor Dikha De Issi Sadi.
Tere Hazoor Meri Dua Hai Yeh Aakhri.
Hum Teri Bargah Mein Aye Rab-e-Kirdgar.
Roye Hain Jo Dua-e-Tawassul Mein Zaar Zaar.
Sun Le Sada-e-:SARWAR:-o-:REHAN: Aik Bar.
Hum Ko Imam-e-Asar Ke Lashkar Mein Kar Shumar.
Poet: :Rehan Azmi:
Noha Khuwan: :Nadeem Sarwar:
Noha Volume: :Nadeem Sarwar 1999-2000:
#AaoAlamKeSaayeMeinAao
#NohayLyrics
#tajpoint