Chehlum Hussain Ka Hai Syed Kumail Mehdi Naqvi Lyrics Urdu 2024
Chehlum Hussain Ka Hai Syed Kumail Mehdi Naqvi
Ik Shoor Ja Baja Hai Beemar Uth Gaya Hai Zindaan Ka Dar Khula Hai.
Humrah Apne Le Kar Ibn-e-Ali Ka Dilbar Phir Qafila Chala Hai.
Koza Lehad Pe Rakh Kar Karb-o-Bala Ko Chaliye Chehlum Hussain Ka Hai.
Aankhon Mein Ashk Le Kar Karb-o-Bala Ko Chaliye Chehlum Hussain Ka Hai.
Kehti Hai Bint-e-Haider Karb-o-Bala Ko Chaliye Chehlum Hussain Ka Hai.
Kar De Koi Manadi Ranj-o-Alam Ki Aadi Jis Ne Sada Dua Di.
Qaid-e-Sitam Se Chut Kar Jati Hai Karbala Ko Kofay Ki Shehzadi.
Parcham Jari Ka Le Kar Karb-o-Bala Ko Chaliye Chehlum Hussain Ka Hai.
Ab Sar Khulay Nahi Hain Bazu Bandhay Nahi Hain Pehrey Lagay Nahi Hain.
Gard-e-Musafirat Se Sadaat-e-Mustafa Ke Chehray Attay Nahi Hain.
Nezon Pe Ab Nahi Sar Karb-o-Bala Ko Chaliye Chehlum Hussain Ka Hai.
Mushkil Bohat Hai Jeena Phatta Hai Gham Se Seena Hai Ghamzada Maheena.
Zakhmi Musafiron Ko Pani Nahi Hai Peena Zindaan Mein Hai Sakina.
Dil Hai Behan Ka Muztar Karb-o-Bala Ko Chaliye Chehlum Hussain Ka Hai.
Pursa Bara-e-Zahra Aoulad-e-Mustafa Ka Abbas-e-Bawafa Ka.
Zehno Mein Apne Rakhna Maidan Karbala Ka Har Aik Ghamzada Ka.
Chalte Hain Dil Pe Khanjar Karb-o-Bala Ko Chaliye Chehlum Hussain Ka Hai.
Pani Pilane Walo Parcham Uthane Walo Nohay Sunanay Walo.
Bachoon Ko Apne Le Kar Karb-o-Bala Ki Janib Har Saal Jane Walo.
Shal-e-Azza Saja Kar Karb-o-Bala Ko Chaliye Chehlum Hussain Ka Hai.
Zindah Rahe Hamesha Ahl-e-Azza Ka Kunba Le Kar Dua-e-Zahra.
Har Dam Yehi Sada Ho Har Lab Pe Yeh Boka Ho Chehlum Yeh Karbala Ka.
Chehlum Mananay :ANSAR: Karb-o-Bala Ko Chaliye Chehlum Hussain Ka Hai.
Poet: :Syed Ali Ansar Rizvi:
Noha Khuwan: :Syed Kumail Mehdi Naqvi:
Noha Volume: :Syed Kumail Mehdi Naqvi 2024-25:
#ChehlumHussainKaHai
#NohayLyrics
#tajpoint
New Noha Chehlum Hussain Ka Hai Syed Kumail Mehdi