Haye Sughra Bata Kya Likhon Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 2006
Haye Sughra Bata Kya Likhon Nadeem Sarwar.
Maula Maqtal Mein Sar Ko Jhukaye.
Lash-e-Akbar Pe Tanha Kharey Hain.
Dhemay Dhemay Tapaktay Hain Aanso.
Haye Sughra Ka Khat Parh Rahe Hain.
Bolay Kya Main Jawab Iss Ka Doon.
Haye Sughra Bata Kya Likhon.
Main Tu Pardais Mein Lut Gaya.
Apne Lashkar Ko Main Ro Chuka.
Tera Baba Ghareeb Ho Gaya.
Haye Iss Ke Siwa Kya Likhon.
Aandhiyaan Mera Ghar Le Gayin.
Mere Lakht-e-Jigar Le Gayin.
Mera Noor-e-Nazar Le Gayin.
Haye Iss Ke Siwa Kya Likhon.
Khat Tera Ab Sunaon Kisay.
Kaun Meri Sada Par Uthay.
Shab Ko Jagay Hoye So Gaye.
Haye Iss Ke Siwa Kya Likhon.
Haye Sughra Woh Bhai Tera.
Jis Ne Tujh Se Tha Wadah Kiya.
Kha Gayi Oss Ko Karb-o-Bala.
Haye Iss Ke Siwa Kya Likhon.
Pyar Tu Ne Hai Jis Ko Likha.
Ghutniyon Bhi Jo Na Chal Saka.
Haan Woh Asghar Bhi Ab Na Raha.
Haye Iss Ke Siwa Kya Likhon.
Shab Ko Dulha Banaya Jisay.
Raas Aayi Na Mehndi Jisay.
Roein Sehrey Ki Lariyaan Jisay.
Haye Iss Ke Siwa Kya Likhon.
Ab Sakina Ka Hafiz Khuda.
Waqt Zainab Pe Bhi Hai Kara.
Mujh Ko Ghairay Hoye Hai Qaza.
Haye Iss Ke Siwa Kya Likhon.
Yeh Tu Acha Howa Ladli.
Apne Ghar Mein Hi Tu Reh Gayi.
Be Ridai Se Tu Bach Gayi.
Haye Iss Ke Siwa Kya Likhon.
Khat Woh :REHAN-o-SARWAR: Tha Kya.
Khak Se Mera Maula Utha.
Lash-e-Akbar Pe Khat Rakh Diya.
Our Iss Ke Siwa Kya Likhon.
Poet: :Rehan Azmi:
Noha Khuwan: :Nadeem Sarwar:
Noha Volume: :Nadeem Sarwar 2005-06:
#HayeSughraBataKyaLikhon
#NohayLyrics
#tajpoint