Kabhi Bhoolengy Na Zehra Syed Ahsan Abbas Baquri Lyrics In Urdu 2023
Kabhi Bhoolengy Na Zehra Syed Ahsan Abbas Baquri.
Peshwayi.
Musayab Zahra Ke Din Raat Haider Ko Rolatay They.
Ali Tanhai Mein Zahra Pe Jab Aanso Bahatay They.
Tarap Kar Kehte They Haider Kabhi Bholein Gay Na Zahra.
Sitam Jitnay Hoye Tujh Par Kabhi Bholein Gay Na Zahra.
Sand Le Kar Muhammad Ki Tera Darbar Mein Jana.
Ali Ke Samne Gasib Ka Hans Kar Tujh Ko Jhutlana.
Qayamat Kheiz Woh Manzar Kabhi Bholein Gay Na Zahra.
Ali Se Pochta Koi Teri Mazlomiyat Ki Had.
Batatay Kaisay Gasib Ne Thi Ki Teri Gawahi Rad.
Kaleja Reh Gaya Kat Kar Kabhi Bholein Gay Na Zahra.
Musayab Kaisay Kaisay Seh Ke Dunya Se Hoi Rukhsat.
Ali Our Apne Haq Ki Hai Chukayi Kis Qadar Qeemat.
Rahi Tum Jitni Ho Muztar Kabhi Bholein Gay Na Zahra.
Tumhari Pasliyaan Totein Tumhara Pehlu Woh Zakhmi.
Tumhara Woh Tarapna Zakhmo Ki Shiddat Se Aye Bibi.
Woh Dar Girna Tere Opar Kabhi Bholein Gay Na Zahra.
Tujhe Gham Bibi Itna Qatal-e-Mohsin Ka Rulata Tha.
Keh Oss Ki Yaad Mein Tujh Ko Na Din Mein Chain Aata Tha.
Woh Rona Raton Ko Uth Kar Kabhi Bholein Gay Na Zahra.
Lagai Aag Zalim Ne Hamarey Dar Ko Jab Aa Kar.
Pukara Jis Tarha Zalim Ne Hum Ko Our Phir Tujh Par.
Woh Dhaya Jaisay Jalta Dar Kabhi Bholein Gay Na Zahra.
Tumhare Khali Hujray Mein Kabhi Bachay Jo Jaein Gay.
Teri Tasbeeh Our Khali Musalla Jab Bhi Dekhein Gay.
Tu Roein Gay Yehi Keh Kar Kabhi Bholein Gay Na Zahra.
:ASAD-o-AHSAN:-o-Gham Khuwaro Matam Daro Dekho Tu.
Ali Ke Chehray Par Behtay Hoye Aankhon Se Ashkon Ko.
Likha Ashkon Ne Hai Beh Kar Kabhi Bholein Gay Na Zahra.
Poet: :Asad Ali Asad:
Noha Khowan: :Syed Ahsan Abbas Baquri:
Noha Volume: :Syed Ahsan Abbas Baquri 2022-23:
Composition: :Rizwan Mirza:
#KabhiBhoolengyNaZehra
#NohayLyrics
#tajpoint