Karbala Na Bhuleingey Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 2002

Karbala Na Bhuleingey Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 2002

Karbala Na Bhuleingey Nadeem Sarwar.

Bhool Jaein Gay Har Gham, Gham Tera Na Bholein Gay.
Karbala Na Bholein Gaye, Karbala Na Bholein Gay.

Kaisay Bhool Jaein Maqtal-e-Hussain Ko.
Kaisay Bhool Jaein Fatima Ke Bain Ko.
Ba Khuda Na Bholein Gay Gham Tera Na Bholein Gay.

Woh Sitam Woh Zulm Woh Jafa Ke Silsilay.
Alqama Ke Samne Khiyam Jal Gaye.
Nainawa Na Bholein Gay Gham Tera Na Bholein Gay.

Jis Jagah Hussain Ka Jawaan Howa Shaheed.
Jis Jagah Howa Tha Aik Be Zabaan Shaheed.
Woh Jagah Na Bholein Gay Gham Tera Na Bholein Gay.

Woh Lahu Bhara Alam Woh Mashk Khoon Bhari.
Intezar-e-Aab Mein Sakina Mar Gayi.
Saneha Na Bholein Gay Gham Tera Na Bholein Gay.

Khon Roye Jis Ke Gham Mein Umar Bhar Imam.
Le Gayi Thi Loot Kar Rida Jo Foaj-e-Sham.
Woh Rida Na Bholein Gay Gham Tera Na Bholein Gay.

Aslam Aye Karbala Ki Khak Aslam.
Aslam Aye Dafan Jism-e-Pak Aslam.
Yeh Sada Na Bholein Gay Gham Tera Na Bholein Gay.

:SARWAR-o-REHAN: Aarzu Hai Yehi.
Roza-e-Hussain Pe Ho Sab Ki Hazari.
Yeh Dua Na Bholein Gham Tera Na Bholein Gay.

Poet: :Rehan Azmi:
Noha Khuwan: :Nadeem Sarwar:
Noha Volume: :Nadeem Sarwar 2001-02:

#KarbalaNaBhuleingey
#NohayLyrics
#tajpoint

Karbala Na Bhuleingey Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 2002 Write Up Poster Image

Karbala Na Bhuleingey Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 2002

Video Link
Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
Best Wordpress Adblock Detecting Plugin | CHP Adblock
error: Content is protected !!