Kulsoom Ney Mehmil Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 2002

Kulsoom Ney Mehmil Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 2002

Kulsoom Ney Mehmil Nadeem Sarwar Lyrics

Kulsoom Ne Mehmal Ke Jo Parday Ko Uthaya.
Apna Tha Watan Our Paraya Nazar Aaya.

Munh Dhanp Ke Roney Lagi Ahmad Ki Nawasi.
Veeran Dar-o-Baam They ALLAH Re Udasi.
Ujra Bani Hashim Ka Muhallah Nazar Aaya.

Woh Galiyaan Jahan Aoun-o-Muhammad Kabhi Khailay.
Abdullah Wahan Phirtay They Khamosh Akelay.
Har Simt Mein Bachoon Ka Sarapa Nazar Aaya.

Sughra Ne Khabar Payi Ke Laut Aaye Musafir.
Khush Ho Gayi Rozay Pe Nabi Ke Hoi Hazir.
Kya Socha Tha Sughra Ne Ossay Kya Nazar Aaya.

Ujari Hoi Har Mang Thi Har Gaud Thi Khali.
Asghar Ka Shaloka Tha Sakina Ki Thi Bali.
Abbas Ka Parcham Bhi Akela Nazar Aaya.

Jis Waqt Ruki Nana Ke Rozay Pe Amari.
Naqay Se Giri Khak Pe Woh Dard Ki Mari.
Rota Howa Nana Ka Jo Chehra Nazar Aaya.

Sughra Ne Kaha Amma Se Kyun Gaud Hai Khali.
Ik Aah Bhari Bano Ne Kuch Munh Se Na Boli.
Roney Lagi Jalta Howa Jhola Nazar Aaya.

Bin Bhai Ke Dakhil Hoi Jo Apne Hi Ghar Mein.
Gash Aa Gaya Taqat Na Rahi Qalb-o-Jigar Mein.
Be Goor-o-Kafan Bhai Ka Lasha Nazar Aaya.

Hujray Mein Nazar Aaye Nahi Qasim-o-Akbar.
Kehne Lagi Main Chor Gayi Thi Yeh Bhara Ghar.
Ghar Qabar Ke Mahool Mein Dhalta Nazar Aaya.

Bistar Tu Wahan Aoun-o-Muhammad Ke Sajay They.
Our Sath Mein Asghar Ke Khiloney Bhi Rakhay They.
Lekin Na Koi Khailney Wala Nazar Aaya.

Aye :SARWAR-o-REHAN: Gham-e-Shah-e-Huda Se.
Syedaniyaan Uthein Na Kabhi Farsh-e-Azza Se.
Aankhon Mein Lahu Honton Pe Noha Nazar Aaya.

Poet: :Rehan Azmi:
Noha Khuwan: :Nadeem Sarwar:
Noha Volume: :Nadeem Sarwar 2001-02:

#KulsoomNeyMehmil
#NohayLyrics
#tajpoint

Kulsoom Ney Mehmil Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 2002 Write Up Poster Image

Kulsoom Ney Mehmil Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 2002

Video Link
error: Content is protected !!