Aal e Rasool Kocha o Bazar Ya Ali Nadeem Sarwar Lyrics Urdu 1996
Aal e Rasool Kocha o Bazar Ya Ali Nadeem Sarwar.
Roti Tu Ho Gi Aap Ki Talwar Ya Ali.
Shehzadiyoon Ke Sar Pe Ridaein Nahi Rahein.
Bachoon Ke Pas Bachoon Ki Maein Nahi Rahein.
Khushiyaan Tu Kya Khushi Ki Hawaein Nahi Rahein.
Looti Gayi Hai Aap Ki Sarkar Ya Ali.
Abbas Jo Hussain Ke Lashkar Ki Aas Tha.
Lagta Tha Aap Sath Hain Jab Tak Woh Pas Tha.
Na Khof Koi Tha Na Kissi Ko Hiraas Tha.
Utha Hai Sar Se Saya-e-Didaar Ya Ali.
Cheeni Gayin Sitam Se Sakina Ki Baliyaan.
Rukhsar Par Numaya Tamachon Ke Hain Nishaan.
Shimar Laeen Jo Bachi Ko Deta Hai Ghurkiyaan.
Maqtal Mein Kanpta Hai Alamdar Ya Ali.
Ab Sham Ka Safar Our Nabi Ki Nawasiyaan.
Pehne Hoye Hain Syed-e-Sajjad Beriyaan.
Zalim Jo Le Ke Aaye Hain Lashon Ke Darmiyaan.
Aankhon Se Khoon Bahata Hai Beemar Ya Ali.
Woh Dekho Bazuon Mein Hai Zainab Ke Resmaan.
Sar Nangay Jis Ki Maa Ko Na Dekhey Hai Aasmaan.
Balway Mein Sar Khulay Hai Woh Makhdoma-e-Jahan.
Koi Nahi Hai Monis-o-Ghamkhuwar Ya Ali.
Zahra Lehad Ko Chor Ke Yasrab Se Aayi Hain.
Faryad Apne Lab Pe Khadija Bhi Layi Hain.
Maqtool Karbala Mein Jo Zainab Ke Bhai Hain.
Mara Gaya Hai Khuld Ka Sardar Ya Ali.
Bazu Qalam Hoye Hain Alam Hai Lahu Lahu.
Asghar Ke Khoon Se Kar Liya Shabeer Ne Wozu.
Phaili Hoi Hai Gham Ki Fiza Aisi Chaar So.
Jis Mein Hai Sans Lena Bhi Dushwar Ya Ali.
Bazm-e-Azza Mein :SARWAR-o-REHAN: Gham Ke Phool.
Tum Ne Khilaye Aisay Keh Razi Hoin Batool.
Rooz-e-Hisab Dekhna Farmaein Gay Rasool.
Dono Hussain Ke Hain Azadar Ya Ali.
Poet: :Rehan Azmi:
Noha Khuwan: :Nadeem Sarwar:
Noha Volume: :Nadeem Sarwar 1995-96:
#SarkarYaAli
#NohayLyrics
#tajpoint
Old Noha Nadeem Sarwar Aal e Rasool Kocha o Bazar Ya Ali