Aao Akbar Sehra Bandho Nadeem Sarwar Lyrics Urdu 1992

Aao Akbar Sehra Bandho Nadeem Sarwar Lyrics Urdu 1992

Aao Akbar Sehra Bandho Nadeem Sarwar.

Koi Masnad La Ke Bichawo Koi Aanchal Sar Pe Chawo.
Koi Kajal Surma Lawo Koi Mehndi Rang Rachawo.

Mera Lal Sada Aabad Rahe Dil Maa Behno Ka Shad Rahe.
Sukhi Dak Jug Yeh Aoulad Rahe Mere Man Ki Pori Murad Rahe.
Koi Nad-e-Ali Duhrawo Poshaak Shahani Lawo.

Koi Chadar Amma Zahra Ki Koi Pagri Lao Nana Ki.
Chalo Behno Aao Akbar Ki Akbar Ke Lagao Ab Mehndi.
Pholon Ki Saij Sajawo Yeh Baam-o-Dar Mehkawo.

Pholon Ko Aab-e-Kausar Se Dhulwa Ke Buzar-o-Qanbar Se.
Yeh Sehra Lagana Tab Sar Se Jab Abar Najaf Se Aa Barsay.
Abbas Ka Parcham Lawo Saye Mein Iss Ko Bithawo.

Koi Sughra Ko Paigham Yeh Do Akbar Ki Behan Tum Shad Raho.
Aane Ki Sakat Ho Tu Aao Our Naig Tum Apna Le Jao.
Bhaiyya Ke Galay Lag Jawo Ghonghat Dulhan Ka Uthawo.

Kehti Hai Sakina Khush Ho Kar Dulha Jo Bachay Bhaiyya Akbar.
Main Naig Mein Mangoon Gi Gohar Sar Rakh Ke Unn Ke Seene Par.
Haq Mera Mujhe Dilwawo Mujhe Bundhay Naye Pehnawo.

Nagah Yeh Di Hatif Ne Sada Yeh Zulm Howa Umm-e-Laila.
Seene Mein Laga Oss Ke Naiza Arman Tha Jis Ki Shadi Ka.
Akbar Ko Kafan Pehnawo Zakhmo Se Khak Churawo.

Barchi Hai Kalejay Mein Tooti Hathoon Mein Lagi Khoon Ki Mehndi.
So Tukray Hoi Sehrey Ki Lari Sarwar Pe Qayamat Ki Hai Ghari.
Zainab Ko Hosh Mein Lawo Lo Farsh Azza Ka Bichawo.

Do Qasid-e-Sughra Ko Yeh Khabar Sughra Ko Bataye Woh Ja Kar.
Akbar Tu Gaye Soye Kausar Kya Takti Hai Sughra Rah Guzar.
Mat Unn Se Aas Lagawo Ab Fateha Unn Ki Dilawo.

:REHAN: Tujhe Akbar Ki Qasam Mat Rook Abhi Tu Apna Qalam.
Woh Baat Tujhe Karna Hai Raqam Gham Ahl-e-Azza Ka Jis Se Ho Kam.
Akbar Ka Sehra Sunawo Khud Tarpo Our Tarpawo.

Poet: :Rehan Azmi:
Noha Khuwan: :Nadeem Sarwar:
Noha Volume: :Nadeem Sarwar 1991-92:

#AaoAkbarSehraBandho
#NohayLyrics
#tajpoint

Old Noha Aao Akbar Sehra Bandho Nadeem Sarwar

Aao Akbar Sehra Bandho Nadeem Sarwar Lyrics Urdu 1992 Write Up Poster Image

Aao Akbar Sehra Bandho Nadeem Sarwar Lyrics Urdu 1992

Video Link
Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
100% Free SEO Tools - Tool Kits PRO
error: Content is protected !!