Ajal Hussain Ki Soorat Geo Ali Ki Tarha Nadeem Sarwar Lyrics 1992

Ajal Hussain Ki Soorat Geo Ali Ki Tarha Nadeem Sarwar Lyrics 1992

Ajal Hussain Ki Soorat Geo Ali Ki Tarha Nadeem Sarwar.

Hussainiyo Yeh Tum Pe Ho Gaya Lazim Jo Tum Hussaini Ho.
Ajal Hussain Ki Sorat Geo Ali Ki Tarha.

Hussainiyo Yeh Tumhein Karbala Batati Hai.
Jo Qaum Apne Shaheedon Ko Bhool Jati Hai.
Qadam Qadam Pe Ajal Se Faraib Khati Hai.
Phir Aisi Qaum Ki Qismat Mein Be Sabati Hai.
Hussainiyo Karo Jo Pairvi Tu Hur Ki Pairvi Ki Tarha.

Koi Hussaini Kabhi Maut Se Nahi Darta.
Ali Ka Naam Kabhi Be Sakoon Nahi Karta.
Ali Ke Bugz Ka Jo Zakhm Hai Nahi Bharta.
Ali Ka Mannay Wala Kabhi Nahi Marta.
Hussainiyo Jo Inn Pe Marta Hai Woh Hai Shaheed Hi Ki Tarha.

Ali Ke Bachoon Ko Jo Maut Se Darata Hai.
Woh Apni Fikar Najis Se Faraib Khata Hai.
Ali Ki Rah Se Jo Bhi Qadam Hatata Hai.
Nabi Ka Beta Bhi Tofaan Mein Doob Jata Hai.
Hussainiyo Nabi Ke Betay Agar Ho Raho Nabi Ki Tarha.

Ali Ke Jeene Ka Andaz Kya Nirala Hai.
Ali Ne Maut Ko Bhi Rizq De Ke Pala Hai.
Khuda Ke Ghar Mein Shahadat Bara Hawala Hai.
Ali Ne Maut Ko Bhi Mushkilon Mein Dala Hai.
Hussainiyo Hasan, Hussain Bhi Zindah Rahe Inhi Ki Tarha.

Jo Haq Parast Hain Woh Sab Ghulam-e-Haider Hain.
Nazar Mein Badar-o-Ohad Ke Tamam Manzar Hain.
Jo Haq Parast Nahi Buzdilan-e-Khaybar Hain.
Jo Haq Parast Hain Unn Ke Jalay Hoye Ghar Hain.
Hussainiyo Shaoor Haq Ki Zarorat Hai Qanbari Ki Tarha.

Inhi Ke Dar Pe Ajal Aa Ke Ho Gayi Majboor.
Hayat-o-Maut Ka Banta Hai Inn Ke Ghar Manshoor.
Inhi Ke Lal Banatay Hain Sabar Ka Dastoor.
Manafiqat Hai Hamesha Dar-e-Hussain Se Door.
Hussainiyo Haqoq Rakhtay Hain Sare Yeh Dawari Ki Tarha.

Sand Ghulami Ki De Dein Tu Khuld Mil Jaye.
Yeh Muskuraein Tu Murjhaya Phool Khil Jaye.
Zameen Ko Ghaiz Se Dekhein Falak Bhi Hil Jaye.
Yahan Se Mangney Dharkan Nabi Ka Dil Jaye.
Hussainiyo Kareem Sab Hain Yahan Rab-e-Akbari Ki Tarha.

Ali Se Zindagi Qatil Ali Ka Kya Cheeney.
Keh Jam-e-Shereen Jisay Dast-e-Haidery Se Miley.
Ali Ne Neend Se Bedar Kar Diya Ho Jisay.
Ali Se Zindagi Woh Cheenta Bhala Kaisay?.
Hussainiyo Ajal Pe Kaun Gira Dehar Mein Ali Ki Tarha.

Yeh Kaun Jata Hai Marne Lahu Lahu Hai Badan.
Farsh Ke Doosh Pe Soraj Ki Ja Rahi Hai Kiran.
Jalal Kehta Hai Yeh Shaks Tu Hai Maut Shikan.
Tarap Rahi Hai Dar-e-Khaima Pe Yeh Kis Ki Behan.
Hussainiyo Yeh Kainat Larazti Hai Thartharai Ki Tarha.

Yeh Kis Ke Halq Pe Ruk Ruk Ke Taig Chalti Hai.
Hayat Roti Hai Our Maut Hath Milti Hai.
Zameen Garam Se Ik Aag Si Nikalti Hai.
Yeh Kis Ki Maa Hai Jo Girti Hai Our Sanbhalti Hai.
Hussainiyo Yeh Kainat Pe Chalti Hai Kya Churi Ki Tarha.

Hayat-o-Maut Ka Yeh Falsafa Diya Kis Ne?.
Ajal Ka Jaam Khuda Ke Liye Piya Kis Ne?.
Yeh Marhala Tha Kathin Tey Magar Kya Kis Ne?.
:REHAN AZMI: Mar Ke Bata Diya Kis Ne?.
Hussainiyo Hayat-o-Maut Hai Behtar Hussain Hi Ki Tarha.

Poet: :Rehan Azmi:
Noha Khuwan: :Nadeem Sarwar:
Noha Volume: :Nadeem Sarwar 1991-92:

#AjalHussainKiSoorat
#NohayLyrics
#tajpoint

Old Noha Ajal Hussain Ki Soorat Geo Ali Ki Tarha

Ajal Hussain Ki Soorat Geo Ali Ki Tarha Nadeem Sarwar
Ajal Hussain Ki Soorat Geo Ali Ki Tarha Nadeem Sarwar Old Nohay

Ajal Hussain Ki Soorat Geo Ali Ki Tarha Nadeem Sarwar Lyrics 1992 Write Up Poster Image

Ajal Hussain Ki Soorat Geo Ali Ki Tarha Nadeem Sarwar Lyrics 1992

Video Link
Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
100% Free SEO Tools - Tool Kits PRO
error: Content is protected !!