Aao Sub Ali Ali Karein Nadeem Sarwar Lyrics Urdu 1997

Aao Sub Ali Ali Karein Nadeem Sarwar Lyrics Urdu 1997

Aao Sub Ali Ali Karein Nadeem Sarwar.

Haq Hai Ali, Haq Hai Ali, Haq Hai Ali, Ali Ali.
Jidhar Haq Hai Udhar Maula Jidhar Maula Udhar Haq Hai.

Aao Sab Ali Ali Karein Ali Ali Karein.
Ali Wali Ke Nam-e-Pak Se Agar Tumhein Hai Pyar.

Likha Ali Parha Ali Kaha Ali Suna Ali.
Pilaya Maa Ne Doodh Mein Bas Aik Naam Ya Ali.

Nagar Nagar Ghali Ghali Chaman Chaman Kali Kali.
Dono Hath Uthao Our Dil Se Bolo Bar Bar.

Malang Ki Sada Ali Hai Sab Ka Aasra Ali.
Kaha Hai Jibraeel Ne Faqat Hai La Fata Ali.
Zameen Zameen Falak Falak Ali Ki Har Jagah Jhalak.
Qalandar-o-Malang Ki Zabaan Pe Hai Yehi Pukar.

Ghadeer Our Mubahila Khuda Ka Ghar Ho Ya Kisa.
Nabi Ke Sath Sath Hain Ali Ba Hukam-e-Kibriya.
Qadam Qadam Liye Alam Nabi Ke Sath Dam Ba Dam.
Ali Chaley Hain Iss Tarha Keh Maa Ke Sath Shair Khawar.

Khudaya Kaisa Mojza Ali Ke Naam Ko Diya.
Keh Jis Ne Ya Ali Kaha Boland Martaba Howa.
Ali Ke Gun Jo Gaye Ga Kamal-e-Fun Woh Paye Ga.
Miley Gi Nusrat-e-Ali Tu Fatha Ho Gi Humkinar.

Wasela-e-Nijat Hai Shaoor Deniyaat Hai.
Khuda Ke Sath Hai Ali Khuda Ali Ke Sath Hai.
Khuda Khuda Ali Ali Sada Jo Harf Mein Dhali.
Alam Nabi Ne De Diya Khuda Ne Bheji Zulfiqar.

Nazar Jo Karbala Gayi Tu Rooh Thar Thara Gayi.
Galay Pe Thi Hussain Ke Baqa-e-Deen Mein Churi.
Zabaan Zabaan Jigar Jigar Haram Tamam Noha Gar.
Pukarti Thin Bibiyaan Tamam Ho Ke Ashkbar.

Rida Saron Se Chin Gayin Bacha Nahi Sitam Koi.
Ali Ki Betiyon Ke Jab Rasan Galon Mein Bandh Gayin.
Boka Boka Fogaan Fogaan Fiza Thi Sab Dhowaan Dhowaan.
Ali Ki Pyari Betiyaan Pukarein Hoon Ke Be Qarrar.

Alam Shadeed Hain Bohat Abhi Yazid Hain Bohat.
Kiye Yazid Asar Ne Jawaan Shaheed Hain Bohat.
Utho Utho Chalo Chalo Alam Ali Ka Tham Lo.
Mita Do Khak Mein Chalo Yazeedon Ka Iqtidar.

Aseer-e-Ghamzada Haram Jigar Ke Khoon Se Aankh Nam.
Qadam Qadam Pe Sakhtiyaan Qadam Qadam Naye Sitam.
Lahu Lahu Dil-o-Jigar Bara Ajeeb Tha Safar.
They Aablay Jo Paon Mein Tu Aablon Mein Lakh Khar.

Ali Ki Sari Zindagi Manafiqat Ki Maut Thi.
Samajh Mein Jis Ki Aa Gaya Ali Ka Tarz-e-Zindagi.
Nafas Nafas Qadam Qadam Ali Ke Ishq Ki Qasam.
Imam-e-Asar Ka Ossay :REHAN: Hoga Intezar.

Poet: :Rehan Azmi:
Noha Khuwan: :Nadeem Sarwar:
Noha Volume: :Nadeem Sarwar 1996-97:

#AaoSubAliAliKarein
#NohayLyrics
#tajpoint

Old Noha Aao Sub Ali Ali Karein Nadeem Sarwar

Very Old Noha Aao Sub Ali Ali Karein Nadeem Sarwar 1997

Aao Sub Ali Ali Karein Nadeem Sarwar Lyrics Urdu 1997 Write Up Poster Image

Aao Sub Ali Ali Karein Nadeem Sarwar Lyrics Urdu 1997

Video Link
Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
100% Free SEO Tools - Tool Kits PRO
error: Content is protected !!