Jo Haq-e-Sana Hai Mukhtar Hussain Fatehpuri Lyrics In Urdu 2023
Jo Haq-e-Sana Hai Mukhtar Hussain Fatehpuri.
Jo Haq-e-Sana Hai Woh Ada Ho Nahi Sakta.
Quran Sa Lehja Tu Mera Ho Nahi Sakta.
Dekhein Na Jissay Daman-e-Zahra Ki Nigahein.
Woh Kuch Ho Magar Ashk-e-Azza Ho Nahi Sakta.
Fitrus Yeh Chala Soch Ke Gehwarey Ki Janib.
Shabeer Agar Chahein Tu Kya Ho Nahi Sakta.
Parhta Ho Main Har Shab Shab-e-Hijrat Ke Qasiday.
Mabood Mera Mujh Se Khafa Ho Nahi Sakta.
Soya Yeh Bataney Ko Sada Jagney Wala.
Aa Jaye Jissay Neend Khuda Ho Nahi Sakta.
Hum Ibn-e-Mazahir Ke Moqalid Hain Keh Hum Se.
Sajdah Teri Ulfat Ka Qaza Ho Nahi Sakta.
Aye Baab-e-Hawaij Teri Dehleez Se Hat Kar.
Dunya Ke Faqeeron Ka Bhala Ho Nahi Sakta.
Iss Hath Ne Ki Hai Dar-e-Abbas Pe Baiyat.
Kat Sakta Hai Parcham Se Juda Ho Nahi Sakta.
Hai Iss Ki Jaza Daman-e-Zahra Mein Sakon Ab.
Kausar Mere Aanso Ka Sila Ho Nahi Sakta.
Yeh Soch Ke Dushman Se Murawat Nahi Kartay.
Jo Sheh Ka Nahi Hai Woh Mera Ho Nahi Sakta.
Poet: :Bilal Kazmi:
Manqabat Khuwan: :Mukhtar Hussain Fatehpuri:
Manqabat Volume: :Mukhtar Hussain Fatehpuri 2022-23:
Composition: :Mukhtar & Izhar Hussain Fatehpuri:
#JoHaqeSanaHai
#ManqabatLyrics
#tajpoint