Bibiyan Roeen Zaro Zar Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 1996
Bibiyan Roeen Zaro Zar Nadeem Sarwar.
Bibiyaan Roein Zaar-o-Zaar, Shehzadiyaan Roein Zaar-o-Zaar.
Lut Gaya Karbal Mein Ghar Bar Hussain, Hussain, Hussain, Hussain.
Hai Aal-e-Nabi Ki Our Darbar Hussain, Hussain, Hussain, Hussain.
Zanjeer Mein Jakra Hai Beemar Hussain, Hussain, Hussain, Hussain.
Koi Bain Karey Bachoon Ke Liye Koi Ro Ke Kahey Bhai Na Rahe.
Nahi Zainab Ka Koi Ghamkhuwar Karb-o-Bala Mein Hai Yeh Pukar.
Be Goor-o-Kafan Lashay Hain Paray Kya Khurd-o-Kalaan Kya Chotay Barey.
Hoye Teer Hazaron Dil Ke Paar Karb-o-Bala Mein Hai Yeh Pukar.
Akbar Ka Jigar Asghar Ka Gala Abbas Ke Bazu Taig-e-Jafa.
Haye Halq-e-Sheh-e-Dein Our Talwar Karb-o-Bala Mein Hai Yeh Pukar.
Qasim Ka Badan Pamal Howa Aati Thi Sada Dulha Dulha.
Ghar Aa Ja Tu Bas Ik Bar Karb-o-Bala Mein Hai Yeh Pukar.
Katta Tha Sheh-e-Wala Ka Gala Roti Thi Zameen-e-Karb-o-Bala.
Hain Aaj Qayamat Ke Aasaar Karb-o-Bala Mein Hai Yeh Pukar.
Ro Ro Ke Sakina Bain Karey Darya Pe Gaye Ammo Mere.
Ab Kaun Karey Ga Mujh Ko Pyar Karb-o-Bala Mein Hai Yeh Pukar.
Be Pardah Hoye Sab Ahl-e-Haram Jab Thanda Howa Ghazi Ka Alam.
Jeena Hai Sakina Ka Dushwar Karb-o-Bala Mein Hai Yeh Pukar.
Jaltay Hoye Khaimay Ahl-e-Haram Hai Sham-e-Ghareebaan Our Matam.
Hai Qafila Jane Ko Teyar Karb-o-Bala Mein Hai Yeh Pukar.
:REHAN: Gham-e-Sarwar Ki Qasam Rotay Hain Mere Qirtas-o-Qalam.
Aankhon Se Rawaan Ashkon Ki Dhaar Karb-o-Bala Mein Hai Yeh Pukar.
Poet: :Rehan Azmi:
Noha Khuwan: :Nadeem Sarwar:
Noha Volume: :Nadeem Sarwar 1995-96:
#BibiyanRoeenZaroZar
#NohayLyrics
#tajpoint