Kaisa Hai Sitam Mola Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 1992
Kaisa Hai Sitam Mola Nadeem Sarwar.
Kaisa Hai Sitam Maula Tu Kaisa Hai Rehman.
Bin Baap Ki Bachi Hai Our Sham Ka Zindan.
Jis Roz Se Bichari Hai Baba Se Chacha Se.
Masoma Ne Roney Par Khaye Hain Tamachay.
Rasi Ki Aziyat Se Dam Ghutta Hai Har Aan.
Aaram Se Soti Thi Jo Baap Ke Seene Par.
Zindaan Mein Mila Oss Ko Ab Khak Ka Bistar.
Rukhsar Bhi Zakhmi Hain Tar Khoon Se Hoye Kan.
Zindaan Ka Andhera Hai Our Yaas Ka Pehra.
Iss Yaas Ke Aalam Mein Abbas Ka Chehra.
Yaad Aata Hai Reh Reh Ke Woh Hoti Hai Be Jan.
Zindaan Ka Koi Gosha Hota Jo Hawadar.
Ghut Ghut Ke Andherey Mein Woh Marti Na Zeenhar.
Zindaan Se Rehai Ka Mar Kar Howa Saman.
Sar Pe Thi Yateema Ke Sehra Ki Pari Khak.
Our Jism Ke Zakhmo Se Chipki Hoi Poshaak.
Jo Mar Gayi Zindaan Mein Oss Bachi Ke Qurban.
Kehti Thi Phophi Amma Kab Ho Gi Rehai.
Kya Koi Khabar Mere Ammo Ki Bhi Aayi.
Le Jaein Gay Zindaan Se Kab Mujh Ko Chacha Jan.
Ro Ro Ke Woh Kehti Thi Har Waqt Phophi Se.
Jate Hain Kahan Urr Ke Sar-e-Sham Parinday.
Hum Bhi Kabhi Ghar Jaein Kya Iss Ka Hai Imkan.
Kyun Amma Ki Godi Mein Asghar Nahi Mera.
Kya Loota Gaya Amma Masoom Ka Jhola.
La Do Mere Bhaiyya Ko Mujh Par Karo Ahsan.
Main Wari Gayi Amma Baba Se Mila Do.
Jis Seene Pe Soti Thi Phir Oss Pe Sula Do.
Jeene Ki Nahi Hoon Main Lamhon Ki Hoon Mehman.
Ab Bhi Dar-e-Zindaan Se Aati Hain Sadaein.
Baba Mujhe Zindaan Ki Musibat Se Bachaein.
Bachi Ki Sada Kya Hai Noha Tera :REHAN:.
Poet: :Rehan Azmi:
Noha Khuwan: :Nadeem Sarwar:
Noha Volume: :Nadeem Sarwar 1991-92:
#KaisaHaiSitamMola
#NohayLyrics
#tajpoint