Haye Bazar-e-Sham Mera Bekas Imam Nadeem Sarwar Lyrics 1992

Haye Bazar-e-Sham Mera Bekas Imam Nadeem Sarwar Lyrics 1992

Haye Bazar-e-Sham Mera Bekas Imam Nadeem Sarwar.

Ik Yehi Baat Sajjad Ko Kha Gayi.
Sar Khulay Haye Zainab Kahan Aa Gayi.

Tauq Ke Bojh Se Sar Nahi Tha Jhuka.
Wajah-e-Sharmindagi Ik Yehi Dard Tha.
Majma-e-Ashqiya Mein Phophi Aa Gayi.

Tap Raha Tha Badan Our Zanjeer Bhi.
Be Rida Maa Phophi Our Humsheer Bhi.
Sochtay They Na Kyunkar Qaza Aa Gayi.

Bibiyon Ke Galay Reesma Se Bandhay.
Gard Aalod Baloon Se Chehray Chupay.
Sham Tak Iss Tarha Bint-e-Zahra Gayi.

Warison Ke Janazon Pe Roye Nahi.
Asar-e-Ashor Ke Baad Soye Nahi.
Neend Rukhsat Hoi Aankh Pathra Gayi.

Ik Tu Zindan Oss Par Andhera Bohat.
Our Faryad Karne Pe Pehra Bohat.
Maut Bhi Iss Andherey Se Ghabra Gayi.

So Gayi Qaid Khane Mein Woh Ghamzada.
Jis Ka Sham-e-Ghareebaan Mein Daman Jala.
Qaid Khane Ki Jis Ko Zameen Kha Gayi.

Kaisay Dafnaein Jakrey Hain Zanjeer Mein.
Dard Likhe Hain Kya Sirf Taqdeer Mein.
Dafan Karne Sakina Ko Maa Aa Gayi.

Dard :REHAN: Sajjad Ke Main Likhon.
Khama-e-Jaan Se Mere Tapakta Hai Khoon.
Roh-e-Qirtas Iss Gham Se Thara Gayi.

Poet: :Rehan Azmi:
Noha Khuwan: :Nadeem Sarwar:
Noha Volume: :Nadeem Sarwar 1991-92:

#HayeBazareSham
#NohayLyrics
#tajpoint

Haye Bazar-e-Sham Mera Bekas Imam Nadeem Sarwar Lyrics 1992 Write Up Poster Image

Haye Bazar-e-Sham Mera Bekas Imam Nadeem Sarwar Lyrics 1992

Video Lik
Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
Best Wordpress Adblock Detecting Plugin | CHP Adblock
error: Content is protected !!