Pyase Pe Ajab Waqt Qayamat Ka Para Hai Nadeem Sarwar Lyrics 1995
Pyase Pe Ajab Waqt Qayamat Ka Para Hai Nadeem Sarwar.
Ik Lash Abhi Laya Hai Ik Lainay Chala Hai.
Yeh Hur Ka Hai Woh Bhai Ka Yeh Betay Ka Lasha.
Zahra Ka Pisar Ganjay Shaheedan Mein Khara Hai.
Zainab Teri Chadar Ka Khuda Hafiz-o-Nasir.
Lashkar Na Alam Our Na Alamdar Bacha Hai.
Yeh Aakhri Hadiya Tha Hussain Ibn-e-Ali Ka.
Yeh Bacha Abhi Teer Se Jo Mara Gaya Hai.
Munh Dhanp Lo Amma Keh Nazar Aaein Na Naizay.
Naizon Se Yehi Aoun-o-Muhammad Ki Sada Hai.
Chup Chup Ke Ossay Roye Gi Ik Raat Ki Biyahi.
Woh Dulha Jo Be Goor-o-Kafan Ran Mein Para Hai.
Laila Tere Akbar Ne Nahi Khaya Hai Naiza.
Yeh Naiza Dil-e-Sibt-e-Payamber Mein Laga Hai.
Maa Jhola Jhulati Hai Khiyalon Mein Abhi Tak.
Ab Jholney Wala Nahi Baqi Yeh Pata Hai.
Jis Khak Pe Khoon Beh Gaya Zahra Ke Jigar Ka.
Woh Khak Faqat Khak Nahi Khak-e-Shifa Hai.
Hai Majlis-e-Shabeer Mein Abbas Ka Matam.
:REHAN: Yeh Ghazi Ki Wafaon Ka Sila Hai.
Poet: :Rehan Azmi:
Noha Khuwan: :Nadeem Sarwar:
Noha Volume: :Nadeem Sarwar 1994-95:
#PyasePeAjabWaqt
#NohayLyrics
#tajpoint