Turbat Abbas Ki Madar Ki Safdar Kaleem Lyrics In Urdu 2023
Turbat Abbas Ki Madar Ki Safdar Kaleem.
Iss Tarha Ehd Nibhaya Hai.
Turbat Abbas Ki Madar Ki Zahra Ki Tarha Be Saya Hai Iss Tarha Ehd Nibhaya Hai.
Sokhi Hai Turbat Zahra Ki Our Inn Ki Lehad Be Maya Hai Iss Tarha Ehd Nibhaya Hai.
Charon Betay Apne Jis Ne Zahra Ke Lal Pe Waar Deiye.
Oss Ki Maiyyat Dafnane Ko Ik Beta Bhi Na Aaya Hai.
Shehzadi Ke Bachoon Ko Koi Aiza Na Ho Takleef Na Ho.
Bachpan Se Hi Beton Ko Jis Ne Paigham-e-Wafa Samjhaya Hai.
Kulsoom Our Zainab Maiyyat Par Maa Maa Keh Kar Roti Hi Rahein.
Phir Zahra Ke Ghar Walon Ne Madar Ka Soag Manaya Hai.
Zahra Ne Tumhare Betay Ko Apna Hi Beta Mana Hai.
Beton Ki Shahadat Par Tum Ne Shabeer Ka Soag Manaya Hai.
Ujari Hai Ruqaiya Ki Dunya Ik Maa Thi Woh Bhi Roth Gayi.
Na Betay Bhai Na Shohar Na Sar Pe Baap Ka Saya Hai.
Zahra Ko Baqaiya Mein Ja Kar Har Roz Hi Pursa Deti Thin.
Iss Wastay Potoon Ne Shayad Dadi Ko Wahan Dafnaya Hai.
Dekha Hai Khuwab Mein :AKHTAR: Ne Hum Karb-o-Bala Mein Hain :SAFDAR:.
Yeh Madar-e-Ghazi Ka Noha Ghazi Ko Hum Ne Sunaya Hai.
Poet: :Akhtar Kaleem:
Noha Khuwan: :Safdar Kaleem:
Noha Volume: :Safdar Kaleem 2022-23:
Composition: :Safdar Kaleem and Mesum Zaidi:
#TurbatAbbasKiMadarKi
#NohayLyrics
#tajpoint