Tere Shehar Se Jatay Hain Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 1996

Tere Shehar Se Jatay Hain Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 1996

Tere Shehar Se Jatay Hain Nadeem Sarwar.

Tere Shehar Se Jate Hain De Hum Ko Dua Nana.
Aabad Karein Gay Hum Haye Ab Karb-o-Bala Nana.

Tera Deen Hai Mushkil Mein Main Kaisay Rahon Ghar Mein.
Tifli Mein Koi Wadah Tha Tujh Se Kiya Nana.

Rozay Pe Tere Aa Ke Hum Shamein Jalatay They.
Ab Kaun Mojawar Hai Sughra Ke Siwa Nana.

Iss Tarha Parinday Bhi Maskan Se Nahi Jate.
Ghurbat Mein Mujhe Jaisay Hai Ab Jana Para Nana.

Bachay Hain Bohat Chotay Garmi Ka Zamana Hai.
Pohanchaye Ga Manzil Par Ab Hum Ko Khuda Nana.

Amma Ki Lehad Chooti Roza Bhi Tera Choota.
Oss Waqt Kalejay Par Khanjar Sa Chala Nana.

Zainab Tere Rozay Par Be Pardah Nahi Aayi.
Ab Dekhey Gi Sab Dunya Sar Oss Ka Khula Nana.

Mere Sath Mein Jati Hai Masoom Sakina Bhi.
Pardais Mein Howay Gi Oss Par Bhi Jafa Nana.

:REHAN: Larazta Tha Marqad Bhi Payamber Ka.
Shabeer Jo Kehte They Main Marne Chala Nana.

Poet: :Rehan Azmi:
Noha Khuwan: :Nadeem Sarwar:
Noha Volume: :Nadeem Sarwar 1995-96:

#TereSheharSeJatayHain
#NohayLyrics
#tajpoint

Tere Shehar Se Jatay Hain Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 1996 Write Up Poster Image

Tere Shehar Se Jatay Hain Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 1996

Video Link
error: Content is protected !!