Ye Sham-e-Ghareeban Hai Darya Nadeem Sarwar Lyrics Urdu 1993

Ye Sham-e-Ghareeban Hai Darya Nadeem Sarwar Lyrics Urdu 1993

Ye Sham-e-Ghareeban Hai Darya Nadeem Sarwar.

Yeh Sham-e-Ghareebaan Hai Darya Ki Rawani Hai.
Pyasay Na Rahe Baqi Phir Kis Liye Pani Hai.

Asghar Tere Lashay Ko Maa Ban Ke Zameen Rakhay.
Ujari Hoi Godi Ki Masoom Nishani Hai.

Khoon Kaisay Rukay Logo Akbar Ka Jawani Mein.
Hai Khon Niya Lekin Barchi Tu Porani Hai.

Yeh Tu Mujhe Lagta Hai Lasha Kissi Dulha Ka.
Patka Jo Kamar Mein Hai Rang Oss Ka Tu Dhani Hai.

Maloom Na Tha Sheh Ko Khud Apne Hi Hathoon Se.
Shabar Ki Nishani Bhi Mati Mein Milani Hai.

Shabeer Ko Khanjar Se Zyada Yeh Aziyat Hai.
Takleef Jo Zindaan Mein Bachi Ko Uthani Hai.

Zainab Ne Kaha Thehro Main Dasht Mein Aati Hoon.
Bhaiyya Tumhein Akbar Ki Ab Lash Uthani Hai.

Har Gham Ko Bhula Dein Gay Har Yaad Mita Dein Gay.
Zahra Tere Bachoon Ki Bas Yaad Manani Hai.

:REHAN: Ki :SARWAR: Ki Pehchan Hai Janat Mein.
Inn Dono Ke Seene Pe Matam Ki Nishani Hai.

Poet: :Rehan Azmi:
Noha Khuwan: :Nadeem Sarwar:
Noha Volume: :Nadeem Sarwar 1992-93:

#YeShameGhareebanHaiDarya
#NohayLyrics
#tajpoint

Ye Sham-e-Ghareeban Hai Darya Nadeem Sarwar Lyrics Urdu 1993 Write Up Poster Image

Ye Sham-e-Ghareeban Hai Darya Nadeem Sarwar Lyrics Urdu 1993

Video Link
Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
Best Wordpress Adblock Detecting Plugin | CHP Adblock
error: Content is protected !!