Haye Zindan-e-Sham Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 1993

Haye Zindan-e-Sham Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 1993

Haye Zindan-e-Sham Nadeem Sarwar Lyrics

Meri Tu Aas Mere Seene Mein Mar Jati Hai.
Dekh Iss Qaid Se Kab Milti Hai Rukhsat Amma.

Be Basi Kaisi Hai Yeh Kaisi Hai Ghurbat Amma.
Kya Banay Gi Issi Zindan Mein Turbat Amma.
Kehna Baba Se Khuda Hafiz-o-Nasir Baba.
Lo Keh Ab Hoti Hoon Zindan Se Rukhsat Amma.

Ab Tu Din Mein Bhi Ujalon Se Mulaqaat Nahi.
Jo Tarap Kar Na Guzari Ho Koi Raat Nahi.
Kya Karon Jee Ke Chacha Meray, Mere Pas Nahi.
Do Dua Khatam Ho Ab Jald Musibat Amma.

Ab Sar-e-Sham Parindon Pe Nazar Jati Hai.
Aisi Makhlooq Hai Urtay Hoye Ghar Jati Hai.
Meri Tu Aas Mere Seene Mein Mar Jati Hai.
Dekh Iss Qaid Se Kab Milti Hai Rukhsat Amma.

Tum Inhi Kapron Ko Aye Amma Bana Dena Kafan.
Ho Nahi Saktay Yeh Tabdeel Keh Zakhmi Hai Badan.
Baba Aa Jaein Tu Keh Dena Unhein Mera Sukhan.
Apne Baba Ki Na Kar Payi Main Khidmat Amma.

Mere Baba Ka Woh Seena Meri Amma La Do.
Jo Tha Jeene Ka Qareena Meri Amma La Do.
Jo Tha Aaram-e-Sakina Meri Amma La Do.
Iss Se Pehle Keh Ho Ab Maut Se Qurbat Amma.

Ho Sakay Tu Ali Asghar Ka Woh Jhola La Do.
Amma Bhaiyya Ka Mere Mujh Ko Shaloka La Do.
Woh Jo Taweez Tha Mannat Ka Khudara La Do.
Mujh Ko Phir Marne Mein Howay Gi Na Diqqat Amma.

Thehar Jao Keh Khuda Hafiz-o-Nasir Amma.
Sath Deti Nahi Ab Bali Sakina Ki Zabaan.
Keh Do Zalim Se Keh Ab Khatam Hoi Aah-o-Fogaan.
Aah Karne Ki Bhi Baqi Nahi Taqat Amma.

Lab-e-:SARWAR: Se Jo :REHAN: Ka Noha Aaya.
Sham Ke Zindaan Se Aane Lagi Aawaz-e-Boka.
Jaisay Bachi Ka Koi Zakhm Howa Phir Taza.
Boli Kyun Ahl-e-Azza Kartay Hain Riqqat Amma.

Poet: :Rehan Azmi:
Noha Khuwan: :Nadeem Sarwar:
Noha Volume: :Nadeem Sarwar 1992-93:

#HayeZindaneSham
#NohayLyrics
#tajpoint

Old Noha Haye Zindan-e-Sham Nadeem Sarwar Lyrics

Haye Zindan-e-Sham Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 1993 Write Up Poster Image

Haye Zindan-e-Sham Nadeem Sarwar Lyrics In Urdu 1993

Video Link
Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
100% Free SEO Tools - Tool Kits PRO
error: Content is protected !!