Hai Tauq-e-Giran Zaib-e-Gulu Paaon Mein Zanjeer Hasan Sadiq Lyrics 1995
Hai Tauq-e-Giran Zaib-e-Gulu Paaon Mein Zanjeer Hasan Sadiq.
Sajjad Ki Likhi Gayi Hai Ashkon Se Taqdeer.
Maa Behnein Phophi Sath Hain Be Maqna-o-Chadar.
Beemar Bana Jata Hai Khud Dard Ki Tasveer.
Zanjeron Mein Jakrey Hoye Zindaan Mein Kharey Hain.
Our Hathoon Pe Sajjad Ke Hai Lasha-e-Humsheer.
Khud Roney Lagay Phoot Ke Jab Paon Ke Chalay.
Aalaam-o-Musayab Ki Likhi Sehra Ne Tehreer.
Beemar Ke Chal Chal Ke Qadam Soojh Gaye They.
Iss Baat Se Tang Our Howa Halqa-e-Zanjeer.
Zanjeer Ki Jhankar Mein Nohay Ki Sada Thi.
Masroof-e-Buka Nohay Se Thi Zainab-e-Dilgeer.
Oss Kofay Mein Sajjad They Paband Musalsal.
Woh Kofa Jo Maula Ki Howa Karta Tha Jageer.
:REHAN: Ada Ajar-e-Risalat Kiya Aisay.
Ik Farz Samajh Kar Kiya Har Nohay Ko Tehreer.
Poet: :Rehan Azmi:
Noha Khuwan: :Hasan Sadiq:
Noha Volume: :Hasan Sadiq 1995-96:
#HaiTauqeGiran
#NohayLyrics
#tajpoint