Zainab Se Azadari-e-Shabbir Chali Hai Hasan Sadiq Lyrics Urdu 1995
Zainab Se Azadari-e-Shabbir Chali Hai Hasan Sadiq.
Ghar Ghar Mein Bapa Majlis-e-Farzand-e-Ali Hai.
Matam Ko Ibadat Ki Tarha Mil Gayi Tauqeer.
Hum Ahl-e-Azza Ki Tu Ibadat Hi Yehi Hai.
Shabeer Ki Majlis Mein Hai Abbas Ka Matam.
Zakhmi Dil-e-Zahra Ki Dua Noha Gari Hai.
Zainab Ne Aseeri Mein Kiya Kar-e-Imamat.
Shabeer Ka Paigham Liye Sham Gayi Hai.
Matam Na Kiya Bachoon Ka Bas Bhai Ko Roi.
Batlao Zamane Mein Behan Aisi Koi Hai.
Abbas Ko Roi Ali Akbar Ko Bhi Roi.
Ta Umar Woh Shabeer Ke Matam Mein Rahi Hai.
Roney Nahi Detey Yeh Sitamgar Behan Ko.
Zainab Teri Mazlomi Pe Ro Bhi Na Saki Hai.
Har Aankh Mein Aanso Hain Har Ik Dil Howa Magmoom.
:REHAN: Tere Nohay Mein Taseer Bari Hai.
Poet: :Rehan Azmi:
Noha Khuwan: :Hasan Sadiq:
Noha Volume: :Hasan Sadiq 1995-96:
#ZainabSeAzadarieShabbir
#NohayLyrics
#tajpoint