Darya Se Laut Kar Na Alamdar Aa Sakay Hassan Sadiq Lyrics In Urdu 1995
Darya Se Laut Kar Na Alamdar Aa Sakay Hassan Sadiq.
Afsoos Be Kason Ke Na Ghamkhuwar Aa Sakay.
Woh Teen Din Ki Pyas Woh Garmi Lab-e-Furat.
Aal-e-Rasool Pyas Na Apni Bhuja Sakay.
Jhuk Kar Kaman Ho Gayi Mazloom Ki Kamar.
Abbas Tera Lasha Na Sarwar Utha Sakay.
Keh Kar Jahan Se Chal Diye Abbas Ba Wafa.
Aaqa Mera Janaza Na Khaimon Mein Ja Sakay.
Darya Se Pani La Ke Gira Detey They Laeen.
Asghar Ko Aik Bond Na Pani Pila Sakay.
Aawaz Do Abbas Ko Zindan-e-Sham Mein.
Tashna Dahan Sakina Ki Turbat Bana Sakay.
Poet: :Banda-e-Momin:
Noha Khuwan: :Hassan Sadiq:
Noha Volume: :Hassan Sadiq 1995-96:
#DaryaSeLautKar
#NohayLyrics
#tajpoint
